Akhtar Khatri

Ab K Saal Kuch Aisa Karna

Friday, May 23, 2014

B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
Ab K Saal Kuch Aisa Karna
Apney Pichley Guzray Saal K
Dukh Sukh Ka Andaza Karna
Bichrii Yaadein Taza Karna
Khuwaobon Sa Ik Kagaz Ley Kar
Bhooley Bichray Pal Likh Lena

Phir Iss Beetey Ik Ik Pal Ka
Apney Guzrey Ik Ik Kal Ka
Ik Ik Mour Ka Ehata Karna
Sarey Dost Akhata Karna
Saree Subhein Hazir Rakhna
Saree Shamein Paas Bulana

Aur Alawa In K Dekhoo
Sarey Mausam Dheyaan Mein Rakhna
Ik Ik Yaad Gumaan Mein Rakhna
Phir Mohtaat Qiyaas Lagana
Ger To Khushiyaan Barh Jati Hain
Tu Phir Tum Ko Meri Taraf Se Yeh Saal Mubarak
Aur Agar Gham Barh Jaye To
To Hum Ko Ik Pal K Liye Zaroor Yaad Kerna

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Mere Gham Se Mere Janoon Tak

Thursday, May 22, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Mere Qurb Se Mere Wajood Tk
Use Ikhtilaf To Sada Ka Tha......

Mere Gham Se Mere Janoon Tk
Ye Fassla Bs Ana Ka Tha....

Meri Zindgi Se Meri Sanns Tk
Wo Falsafa Bs Dua Ka Tha.....

Meri Bat Se Tere Zikar Tk
Koi Silsila Jo Hawa Ka Tha....

. Meri Haqeekat Se Mere Khawab Tk
Wo Bekhabar Intiha Ka Tha.....

Mere Weham Se Mere Guman Tk
Ye Merhala Wafa Ka Tha......

Meri Talab Se Mere Naseeb Tk
Ye Mamla KHUDA Ka Tha.....

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

dheemi dheemi......Nazm

Thursday, May 22, 2014

B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
Na Fikr E Farda...
Na Yaad E Maazi..
Na Chain Dil Ko..
Na Bay Qarari..
Na Had Say Guzra Hua Junoon Woh...
Na Bay Kali Wo Pehlay Jesi..
Bas Ik Udasi Hai..
Dheemi Dheemi..

Bas Ik Khamoshi Hay Bay Karan SI...
Bas Ik Bay Naam Si Jalan HaI...
Bas Ik Bay Dard Si Thakan HaI..
Jo Zindagi Ke ADHOORAYPAN KO
HADOON SAY AGAY BERHA RAHI HAi.....

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा

Thursday, May 22, 2014



चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही 

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही 

दिल में यादों के नश्तर से टूटा किये
एक तमन्ना कलेजा मसलती रही
चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही 

बदनसीबी शराफत की दुश्मन बनी
सज संवार्के भी दुल्हन न दुल्हन बनी
टीका माथे पे एक दाग बनता गया
मेंहदी हाथों से शोले उगलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

ख्वाब पलकों से गिर कर फनाह हो गए
दो क़दम चल के तुम भी जुदा हो गए
मेरी हारी थकी आँख से रात दिन
एक नदी आंसुओं की उबलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

सुबह मांगी तोह ग़म का अँधेरा मिला
मुझको रोता सिसकता सवेरा मिला
मैं उजालों की नाकाम हसरत लिए
उम्र भर मोम बन कर पिघलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

चाँद यादों की पर्च्चैयों के सिवा
कुच्छ भी पाया न तनहाइयों के सिवा
वक़्त मेरी तबाही पे हँसता रहा
रंग तकदीर क्या क्या बदलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

दिल में यादों के नश्तर से टूटा किये
एक तमन्ना कलेजा मसलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा 
शमा जलती रही रात ढलती रही

Akhtar Khatri

Faraq.....Nazm

Thursday, May 22, 2014

B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
Sabhi Insan Hain Mager
Faraq Sirf Itna Hay
Kuch Zakham Dety Hain
Kuch Zakham Bharty Hain

Humsafar
Boht Hain
Mager
Farq Sirf Itna Hay
Kuch Sath Dety Hain
Kuch Chor Dety Hain

Piyar
Sabhi Kerty Hain
Mager
Farq Sirf Itna Hay
Kuch Jaan Dety Hain
Kuch Jaan Lety Hain

Dosti
Sabhi Kerty Hain
Mager
Farq Sirf Itna Hay
Kuch Loog Nibhatay Hain
Kuch Loog Aazmatay Hain

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho

Wednesday, May 21, 2014




Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekh

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekh

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Aks-E-Khushboo Hoon Bikharnay Say Na Rokay Koi

Tuesday, May 20, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Aks-E-Khushboo Hoon Bikharnay Say Na Rokay Koyee
Aur Bikhar Jaon To Mujh Ko Na Samaitay Koyeee

Kamp Uthtee Hoon Mein Ye Soch Kay Tanhayee Mein
Meray Chehray Per Tera Naam Na Perh Lay Koyee

Jiss Tarah Khwab Meray Ho Gaey Raiza Raiza
Uss Tarah Say Na Kabhee Toot Kay Bikharay Koyee

Mein To Uss Din Say Hirasaan Hoon Kay Jab Hukm Milay
Khushk Phoolom Ko Kitaaboon Mein Na Rokay Koyee

Ab To Iss Raah Say Woh Shakhs Guzarta Bhee Naheen
Ab Kis Umeed Pay Derwazay Say Jhankay Koyee

Koyee Aahat Koyee Awaz Koyee Chaap Naheen
Dil Kee Galiyaan Baree Sunsaan Hein Aaey Koyee

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Ke Sabhi Humare Aazmaye Hue Hain

Tuesday, May 20, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Kise Pukaare Hum Is Hajoom-E- Ghum Main
Ke Sabhi Humare Aazmaye Hue Hain

Tum Hi Ne Kardiya Humain Tanha
Warna Hum To Talluq Nibhaye Hue Hain

Dheeme Dheeme Aansoo Dil Se Girte Hain
Ke Hum Apna Ghum Sab Se Chupaaye Hue Hain

Khushiyon Se Bhi Ab To Lagta Hai Darr
Is Qadar Zakham Humne Khaye Hue Hain

Hum Karen Kisi Per Ab Kaise Bharosa
Ke Zamaane Se Dhoke Khaye Hue Hain

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Kisi K Rang Badalnay Main Zara Si Deer Lagti Hay

Tuesday, May 20, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Zamana Dost Ho Jaye To Tum Mohtat Ho Jana
Kisi K Rang Badalnay Main Zara Si Deer Lagti Hay

Koi Jo Khwab Dekho To Usay Foran Bhula Dena
Keh Neendain Toot Janay Main Zara Si Deer Lagti Hay

Kisi Ko Dukh Kabhi Dena To Itna Soch Ker Dena
Kisi Ki Aah Lagnay Main Zara Si Deer Lagti Hay

Bahut Hi Moutabar Hain Jin Ko Muhabat Raas Aa Jaye
Kisi Ko Raah Badalnay Main Zara Si Deer Lagti Hay

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Aaj us ko sochna acha laga

Tuesday, May 20, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Dil Se Dil Ka Rabta Acha Laga
Aaj Us Ko Sochna Acha Laga

Jate Jate Akhri Lamhaat Main
Mur Ker Us Ka Daikhna Acha Laga

Zindagi Bhar Us Ne Jo Kuch Bh Kia
Us Ka Har Ik Faisla Agha Laga

Her Taraf Thi Bawafa Logon Li Bheer
Aik Wo Hi Bewafa Acha Laga

Wo Haya Ki Her Ada Main So Hijab
Paas Rah Ker Bhi Fasla Acha Laga

Kiyon Mohabbat Ho Gai Us Say
Kia Bataiyan Humko Usme Kia Kia Acha Laga

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा

Monday, May 19, 2014


चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

दिल में यादों के नश्तर से टूटा किये
एक तमन्ना कलेजा मसलती रही
चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

बदनसीबी शराफत की दुश्मन बनी
सज संवार्के भी दुल्हन न दुल्हन बनी
टीका माथे पे एक दाग बनता गया
मेंहदी हाथों से शोले उगलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

ख्वाब पलकों से गिर कर फनाह हो गए
दो क़दम चल के तुम भी जुदा हो गए
मेरी हारी थकी आँख से रात दिन
एक नदी आंसुओं की उबलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

सुबह मांगी तोह ग़म का अँधेरा मिला
मुझको रोता सिसकता सवेरा मिला
मैं उजालों की नाकाम हसरत लिए
उम्र भर मोम बन कर पिघलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

चाँद यादों की पर्च्चैयों के सिवा
कुच्छ भी पाया न तनहाइयों के सिवा
वक़्त मेरी तबाही पे हँसता रहा
रंग तकदीर क्या क्या बदलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

दिल में यादों के नश्तर से टूटा किये
एक तमन्ना कलेजा मसलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही






WARM REGARDS,
Akhtar khatri 
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Mohabbat

Saturday, May 17, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Samandar Nay Kaha
Mohabbat Samandar Key Gehraiyo May Chepie Hoe Eik Seepe Hai..
Jiss May Chahat Jessa Anmol Moti Mojood Hai.

Baadal Nay Kaha �..
Mohabbat Eik ~Dhanak Hai .
Jiss May Har Rang Nomaya Hota Hai

Shairy Nay Kaha..
Mohabbat Eik Esse Ghazal Hai ,,
Jo Har Eik Sunay Walay Kay Dil May Uttar Te Chali Jate Hai

Saaz Nay Kaha
Mohabbat Eik Essa Geet Hai ..
Jo Dil May Uttar Jata Hai ..

Malee Nay Kaha
Mohabbat Gulshan Kay Phool Key Woh Dilkash Khusboo Hai
Jiss May Sara Gulshan Mehak Uttah Hai

Ankhon Nay Kaha
Mohabbat Ansoo Ka Samandar Hai..
Jo Kisse Kay Intezar May Khamoshi Say Behta Hai

Dil Nay Kaha ..
Mohabbat Kisse Ko Khamoshi Say Chahay Janay Ka Naam Hai� Kay Aakhire
Waqt Bhee Izhar Na Kiya Jaye

Naseeb Nay Kaha..
Mohabbat Wala Duniya Ka Khush Kismat Tareen Insaan Hai .. Aur Jiss Kay Dil May
Mohabbat Nahin Woh Duniya Ka Badd Tareen Shakhs Hai

Nafrat Nay Kaha
Aakhiri Jeet Mohabbat Ki Hoti Hai

Aur Hum Nay Kaha
Jo Hum Se Bahut Dur He Wo Mohabbat Hai...

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Jindagi Ghazal Hoti To Gunguna Leta

Friday, May 16, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Jindagi Ghazal Hoti To Gunguna Leta,
Bhojh Hoti To Kaandhon Pe Utha Leta,

Khabar Manzil Ki Hoti To Dushwaariyan Kya Thi,
Dariya Ki Tarah Raah-E-Guzar To Bana Leta,

Jimma Tha Mere Sar Ki Qaafila Mukaam Tak Pahunche,
Varna Main To Chaadar Kahin Bhi Bichha Leta,

Mera Shath Hi Khalne Laga Mere Humsafar Ko Jab,
Faisla Judaai Ke Siwa Doosra Kya Leta,

Ab Khaak Hi Baaki Hai Mohabbat Ki Jigar Mein,
Aag Hoti To Hawa Dekar Phir Jala Leta,

Be-Sabab Jeena To Pasand Mujhko Bhi Nahin ~Sahil~
Maut Bas Mein Agar Hoti To Bula Leta.

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Contact Us

Name

Email *

Message *