Arzoo

~Terey Khushbu Say Bharey Khat~

Tuesday, June 14, 2016


Tere Khusbhu Se Bhare Khat Main Jalata Kaise
Pyar Main Doobe Hue Khat Main Jalata Kaise

Tere Hathon Ke Likhe Khat Main Jalata Kaise
Jinko Duniya Ki Nighaon Se Chupaye Rakha

Jinko Ek Umra Kaleje Se Lagaye Rakha
Deen Jinko Jinhe Iman Banaye Rakha

Tere Khushbu Main Bhare Khat Main Jalata Kaise
Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Paani Ki Tarah

Yaad The Mujhko Jo Paigam-E-Zubani Ki Tarah
Mujhko Pyare The Jo Anmol Nishani Ki Tarah

Tere Khusbhu Main Bhare Khat Main Jalata Kaise
Door Duniya Ki Nighaon Se Jo Bachkar Likhe

Sal H Saal Mere Naam Barabar Likhe
Kabhi Din Main Kabhi Rat Main Uth Kar Likhe

Tere Khat Aaj Main Ganga Main Baha Aaya Hun
Tere Khat Aaj Main Ganga Main Baha Aaya Hun

Aag Behte Hue Paani Main Laga Aaya Hun
Warm Regards

http://www.facebook.com/khan.toli.5

Bewafa

Khudara Ab Ke Duaen Khubool Ho Jayen

Friday, June 10, 2016


Khudara Ab Ke Duaen Khubool Ho Jayen
Meri Taqdeer May Dukh Dard Uske Ho Jayen
Usko Pal Bhar Ki Bhi Takleef Na Ho Ae Maola
Saarey Sukh Chaen Mere Naam Uske Ho Jayen
  
Written by Syed Iqtedar Hussain - Alias: Rameez Bakbak
 
RAMEEZ BAKBAK



Bewafa

Apni Cahat May Kuch Aur Asar Laana Hai...

Friday, June 10, 2016



Apni Cahat May Kuch Aur Asar Laana Hai
Dhire Dhire Se Tere Dil May Utar Jaana Hai
Kahte Hain Log Sabar Ka Milega Phal Meetha
Mujhko To Intezaar Kar Ke Wohi Paana Hai
Dil Ki Taskeen Ka Samaan Muhaiya Karne
Apni Bahon May Tumhen Jaan-e-Jan Samana Hai
Teri Banhaon May Guzaronga Zindagi Apni
Duniya May Jite Ji Jannat Mujhe Jo Paana Hai
 
Written by Syed Iqtedar Hussain - Alias: Rameez Bakbak
 
RAMEEZ BAKBAK

Beti Bachao Abhiyan

Baba Ki Rani Hoon

Thursday, June 09, 2016



Bewafa

I love you with all my heart

Wednesday, June 08, 2016



Bewafa

Aaj Tum Ko Sunaaty Mard Gazal...

Thursday, December 24, 2015



aaj tum ko sunaty mard, gazaal
kitne hote hei bhole dil ke ye
haar hansi par he ataa dil inkaa
har hansi pe fidaan ye hote hei
waade karte pyaar mei ye sabhi
pyaar bhi baar - baar karte hei
jahaan dekha koi hansi chehraa
wahi dil ye nisaar karte hei
in ki kamzoori sirf auraat he
us pe duniyaa nisaar karte hei
us ko paane ki ek khatir ye
wade so-so hazaar karte hei
koi kehtaa he hoor, jannat ki
koi pariyaan misaal dete he
chahe goori ho chahe kaali ho
har haseena se pyaar karte hei
maante hei sabhi kahaa yus kaa
jis-ko ye dil se pyaar karte hei
babaa adaam, ne maan kar kehnaa
apni biwee ka kitne dukh the sahe
sun ke biwi ki baat adaam ne
wo bhi jaannat se nikale gaye
or phir kitne sab sahe dukh bhi
sari duniyaa ye bhi jane hei
sooch loo aaj bhi samhal jao
apne jazbaat ko nahi kehnaa
ik galti ki khati tum, hazaar
duniyaa mei dukh nahi sehnaa
apne raab, se karoge ulfaat to
koi tum ko silaa milegaa bhi
chaar din ki ye zindgani hei
choti yusse bhi ye jawaani hei
apne raab, se mang lo maafi
or aaj se nek kaam karnaa hei
wadaa karloo apne rab se tum
aaj se koi buraa naa kanaa hei
na-anaa, aaj se dil ki batoon mei
jisse khudko zaleelo khwaar karo
maaf karnaa mujhe mere bhai
aaj jo baat dil zabaan aai
apni biwi se sirf pyaar karoo
or shushiyo ka karo baar karo
qadmoon mei jahaa nisaar karoo
sari duniya se zyadaa pyaar karo
dekhna phir nazaaraa jannat kaa
to baa raab se, tum baar - baar karoo
maaf kardetaa he khudaa ham ko
rab ko sajdaa tum baar - baar karo
sari duniyaa se tum karo ulfaat
dil mei sab kaa, tum aehtraam karoo
bibbo, karti he pyaar duniyaa se
or sab ko deeloon mei rakhty he
bhai kehti he, sari duniya ko
or sab ko behn, samjhty he
dard sab ka, wo apna kehti he
har behn, ke wo dil mei rehty he
pyaar karti he sari duniyaa ko
or dil apnaa paak rakhty he
maanti he jahaa ko apnaa ghar
or sabhi ka khayaal rakhty he
maaf kardenaa sab mere bhai
aaj ( bibbo) se ho gai galty
yaad rakhna meri sabhi batei
aaj se sab ko maano tum apna
har dukhi ko gale lagaalenaa
har kisi ko samjho tum apnaa
sare shikwe gale mitaa dena
har kisi ko gale lagaa lenaa


Written By :
hameeda amee !

Contact Us

Name

Email *

Message *