Collection Shayari

Zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahin

Friday, August 02, 2013

Collection Shayari

Kyon ki maa to maa hoti hai na

Friday, June 14, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Hamari dekhbhal ke liye khuda ne,
Bade hi pyar se ek pyari cheej banayi hai.
Jab bhi aanshu aaye aankhon me meri,
Unhe ponchhane sabse aage maa hi aayi hai.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Dhoop me chalta to aanchal se chaanv karti,
Mujhe chaanv dekar vo khud dhoop me jalti.
Pyar karti hai vo hame bepanah,
Surat uski kitni bholi bhali hoti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Har par hame usne khushi aur sukh diya,
Badle me hamse aanshuon ke siva kuch na liya.
Dukh diye hai humne unhe kitne hi,
Vo unhe bhi to chupchap sahti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Aaj use kya ho gaya hai e khuda,
Kyon use fever bhi aaya hai e khuda.
De de tu uske saare gum mujhe,
Maa ka karz to santan hi bharti hai na,
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Dar pe tere hazar diye jalaunga,
Maa ko kabhi fir na sataunga.
Abhi man nahi bhara hai uske pyar se mera,
Maa ki jarurat to e khuda tujhe bhi hoti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Kyon aaj chupchap leti hai vo mujhse bina baat karke,
Aaj kyon nahi bolti vo mujhse mujhe yaad karke.
Uski har mushkilon ko usse pahle mein milun har bar,
Maa ke bina kisi ki jindagi nahi kat-ti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Meri har khushi aaj mujhse le le tu,
Par badle me meri maa mujhe de de tu.
Meri tanhaeyon ka aur koi sahara nahi,
Maa kisi ko bar-bar nahi milti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Meri maa mujhe de de tu.
Kyon ki maa to maa hoti hai na.

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Sanjeev

Akhtar Khatri

Pyaari Maa.. Good Morning

Saturday, June 01, 2013

Father's Day

Maa Baap Ke Aansoo

Friday, February 15, 2013

BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM
ASSALAM ALAIKUM WA RAHMATH ULLAHI WA BARKATAHU

Agar Tum 70 Saal Tak 

Qana-E-Kaba Ka Tuwaf

Karke Uski Neikiyaan Apni

Maa Baap Ko Hadiyah 

Karte Raho

Tab Bhi Tum Uss Aansoo

Ke Ek Khatre Ka Bojh

Halka Nahi Kar Sakte

Jo Tumhari Badsuluki Ki

Wajhe Se Tumhare

Maa Baap Ki Aankh Se Gira

Ya Allah Hume Iss Gunah Se Bacha
Hume Toufeeq Aata Farma Ke Hum Apne Maa Baap Se 
Husn Sulook Rakhein Aur Hume Mouqa Wo Mohlat Farahem Kar
Ki Hum Unki Achi Tarah Se Qidmat Kar sakein

Ameeeeeen Ya Rabbul Alameeen

====================
AAPKI DUA KI TALIB

Mrs Rubina Yasmeen

=======================
Ya Allah ! 
surely we have heard a preacher calling to the faith, 
saying: Believe in your Lord, so we did believe;
 
Ya Allah !
 forgive us therefore our faults, 
and cover our evil deeds and make us die with the righteous. 

Ya Allah ! 
grant us good in this world and good in the hereafter,
 and save us from the chastisement of the fire.
 
Ya Allah ! 
Accept From Us ;
Surely Thou Art The Hearing, The Knowing
 

Akhtar Khatri

Khuda Ney Jo Bhi Diya Hai Mukaam Tum Sey Hai

Tuesday, January 15, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Yeh Kamyabian Izat Yeh Naam Tum Sey Hai
Khuda Ney Jo Bhi Diya Hai Mukaam Tum Sey Hai

Tumharey Dum Sey Hain Mairey Lahu Main Khiltey Gulab
Mairey Wajood Ka Sara Nizaam Tum Sey Hai

Kahan Bisat Jahan Aur Main Kamsin-o-Nadan
Yeh Mairi Jeet Ka Sab Ahtamam Tum Sey Hai

Jahan Jahan Hai Mairi Dustumni Sabab Main Houn
Jahan Jahan Hai Maira Ahtaraam Tum Sey Hai

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****



~Don't Miss This Special Shayaries!~

Gazal

Mujhko Mamta Wo Yaad Aati Hai

Tuesday, November 20, 2012

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
asslam o ale kum

mujh ko mamta wo yaad aati he
meraa bachpan wo yad ataa he
mera babul jhulata bhahoon mei
saraa bachpaan wo yaad aataa he



mujh ko baanhoon me wo jhulate tha
khud ko jhulaa meraa bnataa thaa
mujhko maamtaa wo yad ati he
rooz yadei mujhe sataati hei
aankhe sawan bnake jati he
yaadei bach pan mujhe staati hei



mere bhai or meri behne
mere maa baap ke the sab gehne
kitna piyaara wo zamana tha
aaj ye daur kesa aya khudaa



sare bichad kar dur bhethe hei
aapni apni 2 .kahani kehte hei
door bethe sabhi khushi se hei
bhul bhethe hei mamta babul ko



meri behne kitni piyari hei
karti wo piyaar aaj bhi kitna
mere babul ki ye khaani thi
char din ki wo zindgani thi



mere babul ki ye kahani thi
kabhi un ki bhi to jwaani thi
ham ko bhi ayega budhapa jab
yaad ayega unka saaya tab



he abhi waaqt tum samhal jao
unko naazdeek apne le,aao
bad me fir tum naa pachtana
jab karenge tumhare saath yehi



jo tumhaari nazaar ke tare hei
piyaar maa baap ko kaaro sab tum
apni aakhraat ko sawaanroo tum
maafi mowlaa se maanglo sab tum



Apna khyal rakhna
Allah hafiz
Written by :
HAMEEDA AMEER

Gazal

Maa meri aa....chali bhi aa tu yaha

Tuesday, November 20, 2012

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
asslam o ale kum

Maa meri aa .. chali bhi aa tu yahaa
Teri bety tujhe pukaare maa
Aaj tanhaa he tery bety jo
Yaadei teri mujhe rulaty maa
Yaad aaty he mujh ko batei saab
Mearaa bachpaan tujhe pukare maa
Chean miltaa nahi tere bin ab
Mearaa har pal tujhe bulaye maa
Bhool jaau tujhe mei kese bataa
Teri qurbaani yaad aayei maa
Teri har baat mei mohabbat thi
Teri har baat mei .. chahaat maa
Meri khushiyoon ki khatir tu roi
Kitni taklif .. tu uthai ..maa
Yaad mujh ko sabhi zmanaa hei
Mearaa bachpaan teri jawaani maa
Aaj yus mood pe hyun mei aai
Yaad teri mujhe sataaye.. maa
Kaash mei rehti zindgi bhar..yuhi
Teri gudiyaa wohi ..choti pyaari..maa
Ashq aankho se ye ..nahi rukte
Yaad teri ..bahut he… aai maa
tujh ko mei kese bhul.jayun bataa
tu meri .. rooh he.. meri pyari maa

Apna khyal rakhna
Allah hafiz
Written by :
HAMEEDA AMEER

Mother's Day

Mere Bacho

Tuesday, September 25, 2012


Mere Bacho, Agar Tum Mujhko Budhape Ke Haal Me Dekho
Ukhdi Ukhdi Chaal Me Dekho
Mushkil Maah Wo Saal Me Dekho
Sabr Ka Daman Thaame Rakhna
Kadwa Hai Yeh ghoont Par Ye Chakna
Uff Ne Karna Gusse Ka Izhaar Na karna
Mere Dil Pe Waar Naa Karna
==================

Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Hath Mere Agar Kamzoori Se Kanp Uthe
Aur Khana Mujh Se Gir Jaye Toh
Mujhko Nafrat Se Matt Takna
Lehje Ko Bezaar Naa Karna
Bhool Naa Jana In Hathoun Se Tumne Khana Khaana Seekha
Jab Tum Khana Mere Kapdoun
Aur Hathoun Pe Mull Dete The
Mein Tumhara Bosa Lekar Hass Deti Thi
Kapdoun Ki Tabdeeli Me
Agar Dier Lagadoun ya Thak Jaoun
Mujhko Sust Aur Kaahil Keh kar
Aur Mujhe Beemar Naa Karna
Bhool Naa Jana Kitne Shouq Se Tum ko
Rang Barangi Kapde Pehanati Thi
EK Ek Din Me Dus Dus Badlawati This
=========
Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”
Mere Yeh Kamzoor Qadam
Agar Jaldi Jaldi Uth Naa Paayein
Mera Hath Pakad Lena Tum
Tezz Apni Raftaar Naa Karna
Bhool Naa Janaa Meri Ungli Thaam Ke
Tumne Paaoun Paaoun Chalna Seekha
Meri Baahoun Ke Halqe Me
Girna Aur Sambhalna Seekha
 
=============
 

Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”
 
Jab Mein Baatein Karte Karte Rukk Jaoun
Khud Ko Dohraoun
Toota Rabt Pakad Naa Paaoun
Yaad-E-Maazi Me Kho jaoun
Aasani Se Samajh Naa Paaoun
Mujh Ko Narmi Se Samjhana
Mujh Se Bekaar Matt Ulajhna
Mujhe Samjhana
Uktakar Ghabrakar Mujhko Daant Naa Dena
Dil Ke Kaanch Ko Pather Maar ke
Kurchi Kurchi Baant Naa Dena
Bhool Naa Jana Jab Tum Nannhe Munne Se The
Ek Kahani Sau Sau Baar Suna karte The
Aur Mein Kitni Chahat Se Har Baar Sunaya Karti
Thi
Jo Kuch Dohrane ko Kehte Mein Dohraya karti Thi
 
=====================


Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”
Agar Nahane Me Mujh Se Susti Hojaye
Mujhko Sharminda Matt Karna
Ye Naa Kehna Aap Se Kitni Boo Aati Hai
Bhool Naa Janaa Jab Tum Nannhe Munne The
Aur Nahane Se Chiddte The
Tumko Nehlane Ki Qatir
Chidya Ghar Lejaane Mein Wadaa Karti Thi
Kaise Kaise Heiloun Se Tumko Amadah Karti Thi
 
================= 
 

Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”
 
Agar Mein Jaldi Samajh Naa Paaoun
Waqt Se Kuch Peeche Reh Jaoun
Mujh Par Hairat Se Matt Hasna
Aur Koi Faqra Naa Kasna
Mujhko Kuch Mohlat De Dena
Shayed Mein Kuch Seekh Sakoun
Bhool Naa Jana Barsoun Meine
Mehnat Karke Tum Ko Kya Kya Sekhlaya
Khana-Peena-Chalna-Phirna
Milna Julna - Likhna Padhna
Aur Aankhoun Me Aankhein
Daalke Iss Duniya ki Aage Badhna
 
======================
 


Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”
Meri Khaansi Sunkar Agar Tum Sote Sote Jaag
Utho
Mujhko Tum Jhidki Naa Dena
Ye Naa Kehna Jaane Din bhar Kya Kya Khati Rehti Hain
Aur Raatoun Ko Khoun Khoun Karke Shor Machati Rehti Hai
Bhool Naa Jana Mein Kitni Lambi Raatein
Tumko Apni Goud Me Lekar Tahel Tahel Kar Kaati Hain
====================


Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Agar Mein Khana Naa Khaoun
Toh Tum Mujhko Majboor Naa Karna
Jis Shaiye Ko Jee Chahe Mera
Ussko mujh Se Durr Naa Karna
Parhaizoun Ki Aad Me Har Pall
Mera Dil Ranjor Naa karna
Kiska Farz Hai Mujhko Rakhna
Iss Baare Me Ek Duje Se Bahess Naa karna
Aapas Me Bekaar Naa Ladna
Jisko Kuch Majboori Ho Uss Bhai Par Ilzaam naa Dena
===================
 
Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”
Gar Mein Kehdoun Ek Din
Ab mujhme Jeene Ki Chah Nahi
Yunhi Bojh Bani Baithi Hoon
Koi Bhi Humrah Nahi Hai
Tum Mujh Par Naraz Naa Hona
Jeewan Ka Ye Raaz Samajhna
Barsoun jeete Jeete Aaqir
Aise bhi Din Aajate Hain
Jab Jeewan Ki Ruh Toh Ruqsat Hojati Hai
Saans Ki Doori Reh Jaati Hai
 
================
 §
Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”
 Shayed kal Tum Jaan Sakoge
Iss Maa ko Pechan Sakoge
Agarche Jeewan Ki Iss Doud Me
Meine Sab Kuch Haar Diya Hai
Laikin Mere Daman Me Jo Kuch Tha
Tum Par Waar Diya Hai
Tum Ko Saccha Pyaar Diya Hai
===============
 

Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”Û”

Jab Mein Marr Jaoun Toh
Mujh Ko Mere Pyare Rabb
Ki Janib Chupke Se Sarka dena
Aur Dua Ki Qatir Hath Utha Dena
 
================
§
 
 =======================
Mere Pyare Rabb Se Kehna
Raham Humari Maa Pe Karde
Jaise Issne Bachpan Me Hum
Kamzooroun Par Rahaam Kiya Tha
 
Bhool Naa jana Mere Bachoo
 
Jab Tak mujh Me Jaan baaqi Thi
Khoon Ragoun Me Doud Raha Tha
Dil Seene Me Dhadak Raha Tha
Qair Tumhari Maangi Mein Ne
Mera har Ek Saans DUA Tha
 
===================
aapki dua ki talib
mrs rubina yasmeen
====================

Dua

Mother

Monday, July 23, 2012

Contact Us

Name

Email *

Message *