Collection Shayari

Bas Yehi Dua Rab Se Subha Shaam Karta Hoon...

Thursday, June 02, 2016

Mere Saathi Tu Hamesha Mere Saath Rahe


Khinch Ke Lakhiron Ko Reit Pe Din Ginta Hoon
Saaz Pe In Laheron Ki Geet Tere Bunta Hoon
Aap Hi Diwana Main Zikr Tera Karta Hoon
Khudse Hi Main Kaheta Hoon Khudse Hi Main Sunta Hoon
Kaam Koi Mujhko Nahi Bas Tera Tasawer Hai
Raat Din Meri Jaana Fikr Teri Karta Hoon
Ab Ke Hamko Milwake Phir Juda Na Kardena
Bas Yehi Dua Rab Se Subha Shaam Karta Hoon


Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]


Collection Shayari

Gham May Bhi Main Bahaal Lagta hoon...

Friday, May 27, 2016

Collection Shayari

Ji Ye Jab Bhi Mera Udaas Jo Hota Hai Rameez...

Wednesday, May 25, 2016

Collection Shayari

Nujomi Dekh Kar Haton Ko Ab Ye Hi Batata Hai...

Friday, May 13, 2016

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjsFFYDeyKcSi_0pG3ncpwNHl-EglyyTvOrq2Vu-vCP3w43mjrsdE8LSf1jtpVsY3sVXfuj_1eJdwODsCumei9tPHtcdu8yZZsIfq38NkD_4jCMKwI-DsCMRARRKeKagTPYDUa_Qj9KPjA/s1600/parwa.jpg

Dard Shayari

Bichad Ke Tum Se Kabhi Zindagi Na Jiney Ko...

Thursday, May 12, 2016

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEj3gKRd3KFA4B5haqLEZ_-GVvSGipqLX1WaT6LKG8EX1B0segELddPyR4HJogVV4th3WNZU45sKuR5qEHv1_KCS4-NAFUdyVYZq8BnD0UvDxK6kPgQA-JLXg1Jl4SQT9mDF4WRpu8DYGlMI/s1600/11987048_996616083723163_786945645272701812_n-722253.jpg
Bichadon Phool Main Kamzarf Bhi Nahi Itna
Chidak Ke Khon-e-Jigar Rahen Surq Kardonga

Tumhari Raah Se Rezon Ko Saarey Chun Chun Kar
Tumhare Khadmon Ki Main Qhaak Khudko Kardonga

Koi Bhi Gham Na Mile Tumko Is Jahan May Kabhi
Main Apni Khushiyaon Se Daman Tumhara Bhardonga

Bichad Ke Tum Se Kabhi Zindagi Na Jiney Ko
Tumhare Tan Badan Ki Rooh Khud Ko Kardonga

Judai, Hijr Ke Gham, Aur Bichad Ke Jina
Main Aesey Lafzon Ko Jiwan Se Talf Kardonga

Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]

Dard Shayari

Jab Se Munsalik Tera Naam Hogaya Mujh Se

Wednesday, May 11, 2016

 
Ek Teri Tawajhe Hai Zindagi Ki Rahon May
Zikr Hai Chupa Tera Ab Hamari Aanhon May
 
Jab Se Munsalik Tera Naam Hogaya Mujh Se
Pyar Hi Jhalakta Hai Tabse In Nigahon May
 
Jaagti In Aankhon May Sirf Husn Hai Tera
Nind May Bhi Aati Ho Tum Hamare Khabon May
 
Dil Mera Dhadakta Hai Naam Tera Le Le Ke
Bas Tumhi Samai Ho Meri Chalti Sanson May
 
Ji Kahin Nahi Lagta Saher Tera Chalta Hai
Chaai Tumhi Raheti Ho Ab Mere Khayalon May
 
Dil Jigar Lutane Ki Baaten Na Karo Bakbak
Khudko Main Lutadonga Khoke Uski Banhon May
 
Written by Syed Iqtedar Hussain - Alias: Rameez Bakbak
 
 
RAMEEZ BAKBAK

Collection Shayari

Yaad Tujhko Hi Din Raat Karne Laga...

Monday, May 09, 2016

https://s-media-cache-ak0.pinimg.com/736x/7e/2f/ae/7e2fae63c7edf5d1197000ccb675f2db.jpg 
  Yaad Tujhko Hi Din Raat Karne Laga
Thandi Aanhen Subha Shaam Bharne Laga

Main Diwana Shab-e-Wasl Ka Jaan-e-Man
Tumjhko Banhon May Bharne Ko Marne Laga

Bekali Ji Ki Kuch Kam Ho Is Ke Liye
Teri Baaten Diwaaron Se Karne Laga

Yaad Teri Satane Lagi Hai Mujhe
Uthke Raaton Ko Chupke Se Roone Laga

Gham Tera Ghere Rahne Laga Hai Mujhe
Sine May Dard Phir Se Satane Laga

Teri Banhon Ka Sukh Chaen O Jaan-e-man
Paa Ke Jine Ko Main Hosh Khone Laga

Mil Ke Uljhale Tu Gesoaon May Mujhe
Ab Judai Se Teri Main Darne Laga

Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]

Collection Shayari

Din Ko Mahine Aur Saal Kiya Karta Hoon...

Friday, May 06, 2016


 
 
Ek Tere Milne Ki Cahat May Jiya Karta Hoon
Dard-e-Dil Ghont Ghont Karke Piya Karta Hoon

Apni Tanhaiyon May Yaad Tujhe Kar Kar Ke
Dil Ke Badhte Huwe Zakhmon Ko Siya Karta Hoon

Bin Tere Koi Bhi Shae Mujhko Lubhati Hi Nahi
Apni Viraan Si Duniyan May Jiya Karta Hoon

Ranj-o-Rahat Ka Mujhe Koi Bhi Ehsaas Nahi
Hosh May Aate Hi Mae-khana Piya Karta Hoon

Ae Meri Jaan Tere Waaste Hi Mar Mar Ke
Din Ko Mahine Aur Saal Kiya Karta Hoon

Written By :
Syed Iqtedar Hussain

Collection Shayari

Teri Aankhaon Ne Khoob Kaam Kiya...

Sunday, February 14, 2016



Ab Koi Waasta Na Rihdhaon Se
Ab Na Dhondhonga Koi Mae-Khana
Ek Botal Ko Bhi Na Kholonga
Aur Na Chuonga Main Koi Pyala

Main Samajhta Tha Sirf Nasha Hai Mae-Khanon May
Pyalon May Dhalte Huwe Mae Ki In Dhaaron May
Laekin Ab Jaan Gaya Hoon Ke Nasha Cheez Hai Kya
Uski Aankhon Ne Kiya Mujh Pe Aesa Jaadu
Bahot Sanbhla Magar Sanbhal Na Saka
Laakh Koshish Ki Ke Na Bahekonga
Bahot Tadbiren Ki Na Jhoomonga
Tamaam Koshishen Bekaar Hogain Meri
Tab Se Main Raheta Hoon Har Ghadi Nashe May Choor

Ajeeb Zindagi Meri Huwi Mili Jo Wo
Alag Jahan Basa Mera Is Duniyan Se
Na Mujh Ko Waasta Kisi Se Na Koi Gharz Hai Ab
Mujh Ko To Har Ghadi Us Se Hi Hai Lagaao Ab
Main Us Ka Wo Meri Do Jism Ek Jaan Hain Ham

Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]

Contact Us

Name

Email *

Message *