Akhtar Khatri

Har ek baat pe kahate ho tum ki tu kya hai

Sunday, February 17, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Har ek baat pe kahate ho tum ki tu kya hai
tumhin kaho ke yeh andaaz-e-guftagu kya hai

Na shole mein yeh karishma na barq mein yeh ada
koi bataao ki woh shokh-e-tundakhu kya hai

Yeh rashk hai ki woh hota hai hamsukhan hum se
vagarna khauf-e-badaamozii-e-ad kya hai

Chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamaai jeb ko an haajat-e-rafu kya hai

Jala hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga
kuredte ho joh ab raakh justaju kya hai

Ragon mein daudate phirane ke hum nahin qaayal
jab aankh hi se na tapaka toh phir lahu kya hai

Woh cheez jiske liye humko ho bahisht azeez
siva e baadaa-e-gulfaam-e-mushkabu kya hai

Piyoon sharaab agar khum bhi dekhloon do chaar
yeh sheesha-o-qadaah-o-kooza-o-subu kya hai

Rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi
toh kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai

Bana hai shah ka musaahib, phire hai itraata
vagarna shahar mein "Ghalib" ki aabroo kya hai

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Dard Shayari

WO TO BASTAA HE MERI DHARKAN MEI

Sunday, February 17, 2013

Abdul Hamid 'Adam'

aap agar ham ko mil gaye hote

Sunday, February 17, 2013

Father's Day

Maa Baap Ke Aansoo

Friday, February 15, 2013

BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM
ASSALAM ALAIKUM WA RAHMATH ULLAHI WA BARKATAHU

Agar Tum 70 Saal Tak 

Qana-E-Kaba Ka Tuwaf

Karke Uski Neikiyaan Apni

Maa Baap Ko Hadiyah 

Karte Raho

Tab Bhi Tum Uss Aansoo

Ke Ek Khatre Ka Bojh

Halka Nahi Kar Sakte

Jo Tumhari Badsuluki Ki

Wajhe Se Tumhare

Maa Baap Ki Aankh Se Gira

Ya Allah Hume Iss Gunah Se Bacha
Hume Toufeeq Aata Farma Ke Hum Apne Maa Baap Se 
Husn Sulook Rakhein Aur Hume Mouqa Wo Mohlat Farahem Kar
Ki Hum Unki Achi Tarah Se Qidmat Kar sakein

Ameeeeeen Ya Rabbul Alameeen

====================
AAPKI DUA KI TALIB

Mrs Rubina Yasmeen

=======================
Ya Allah ! 
surely we have heard a preacher calling to the faith, 
saying: Believe in your Lord, so we did believe;
 
Ya Allah !
 forgive us therefore our faults, 
and cover our evil deeds and make us die with the righteous. 

Ya Allah ! 
grant us good in this world and good in the hereafter,
 and save us from the chastisement of the fire.
 
Ya Allah ! 
Accept From Us ;
Surely Thou Art The Hearing, The Knowing
 

Akhtar Khatri

Ab na aayeNge plat kar kabhi jaane wale

Friday, February 15, 2013

Akhtar Khatri

Ki chhuu rahaa huuN tujhe..

Friday, February 15, 2013

Contact Us

Name

Email *

Message *