Main Kaha Keta Hoon

Monday, June 20, 2011


http://i55.tinypic.com/21mt21e.gif


Join my Group
http://groups.yahoo.com/group/BeautifulShayari/join

& Blog

http://yourashiqeshayar.blogspot.com

123Friendster.Com
�Ashiqeshayar@gmail.com


9911448870
Ashiqeshayar@yahoo.in

Muhabbaton ma numaish ki zaroorat nahi hoti,
Yeh to wo jazbah hey jis me khamoshi bhi gungunati hai




Ab har khushi hum apni unhe bana bethe

Monday, June 20, 2011

Unki dillagi me hum apna dil kho bethe,
Unhe khwabon me sajakar ek khata kar bethe.
Kal tak to us khuda ke diwane the hum,
Aaj unse mile to unke diwane ban bethe.
Sabhi kahte hai ishq diwana kar deta hai,
Aaj ishq karke hum bhi aashiq ban bethe.
Vo ek bar muskuraye the hamare samne,
Aur hum apna hi hosh kho bethe.
Hum mushkil se hosh me aaye the yaaro,
Ki vo ek bar fir se muskura bethe.
Vo nahi chahte ki kisi aur ko dekhun mein,
Shayad isiliye vo hamari palkon par aa bethe.
Hamne to yun hi palke jhukayi thi k,
Vo aankhon k raste dil par haq jama bethe.
Kese nikale hum unhe apne dil se,
Jab khud hum unhe apni jaan bana bethe.
Har khushi mil gayi jahan ki hame,
Jab unki felli hue bahon me aakar hum bethe.
Kuch nahi chahiye khuda se hame aur,
Ab har khushi hum apni unhe bana bethe.



Aapka Love Guru



Bin kahe mohbbat kisi se ho jaye to

Thursday, June 09, 2011

Aaj bhi ussi ke naam se chalti hai sansen hamari

Thursday, June 09, 2011

Jab unse mulakat hue to,
Ek ajeeb sa sukun tha dil me.
Jab unse mohbbat hue to,
Ek ajeeb sa chain tha dil me.
Chalne lage vo hamare sath,
Un veeran rahon par.
Sajane lage vo khawab dekho,
Hamari veeran bahon par.
Vo din bhi kya din the yaaro,
Ek ajeeb sa nasha tha dil me.
Ab aapko kese bataye dost,
Kesi rangeen thi duniya hamari.
Ussi ke ird-gird hi to,
Chalti thi sansen hamari.
Fir ek din kyon vo hame chhod gaye,
Na chahte hue bhi hamse munh mod gaye.
Tanhaeyan hi charon aur mili,
Mahfil me bhi hamari duniya na khili.
Ussi par jeena ussi par marna tha hamara,
Har khushi usse dene ka irada tha hamara.
Ab aapko kese bataye dost,
Kesi rangeen thi duniya hamari.
Ussi ke ird-gird hi to,
Chalti thi sansen hamari.
Jeena chahkar bhi na jee sakenge ab hum,
Uski judae me bhi to na mar sakenge ab hum.
Ab aapko kese bataye dost,
Kesi veeran hai duniya hamari.
Aaj bhi ussi ke naam se,
Chalti hai sansen hamari
Aaj bhi ussi ke naam se,
Chalti hai sansen hamari




Aapka Love Guru



Click here to join Beautiful Shayari
Click Here to join Beautiful Shayari Group
To get Daily Beautiful Love Shayari,
Sad Heart Touching Shayari,
Hindi Poem, Gazals, Bitter Discourse &
Beautiful Mails In Your Inbox

Meri Zindagi Mere Saath Chal

Thursday, June 09, 2011

Apna dukh tumhe batakar Mein kyon rulaun tumhe

Thursday, June 09, 2011

Sab puchhte meri mohbbat ki kahani,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Pyar to ek jariya hai pas aane ka,
Apni hi jaan ko jaan se marne ka.
Sab dhokha dete hai pyar karke,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Kitna maja aata hai ishq me tadphane ka,
Gahre jakhmon par namak lagane ka.
Har cheej ke tutne ki awaj hoti h pr dil ki nahi,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Uska inkar sunkar waqt jese ruth gaya,
Aanshuon ka bandh sabr se tut gaya.
Uska masoom chehre bhi katil najar aane laga,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Julm yun karke vo muskurayi ese,
Kisi khel ki baji jeet li ho unhone jese.
Unke chehre par darindagi ka esa saya,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ek chehra jo pahle haseen kitna tha,
Aaj vo lagta jaleem utna tha.
Kya kahun usse bas dekhta raha ek tak,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Vo hath hilakar chal diye kese,
Hamare bina koi fark na padega jese.
Hamari to sanson ne hi sath chhod diya,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Dekhta raha usko k mudkar vo aayegi,
Mere pyar ko thukra kar vo kahan jayegi.
Usse to jana hi tha tabhi thukraya mere pyar ko,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Chah nahi thi kisi aur ko dekhne ki,
Uske alawa kisi aur k bare me sochne ki.
Jameen nigal le ya aasma kha jaye dilse hamne dua ki,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Dil jalta hai tumhe dil ke dag kese dikhaye,
Uske bina rah nahi sakte usko kese samjhaye.
Koi ladki (mumtaj) wafa nahi karti mere dil se ab to,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ab nahi intejaar tutte dil ko sambhalane ka,
Ek mumtaj bewafa thi aur dusri bewafa pane ka.
Jindagi maut ban chuki hai ab to hamare liye,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ab to har ladki mujhe mumtaj najar aati hai,
Aur har mumtaj hame bewafa najar aati hai.
Ishq-mohbbat-pyar se to dil ko jese nafrat ho gayi,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Nahi chahiye mumtaj ki hamdardi ek bar fir,
Shayad mumtaj bewafa ho jaye ek bar fir.
Kitne hai dard dil me chhupe ab mere,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Kya haqq hai mera tumhe rulane ka,
Fir apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Mein kyon rulaun tumhe.
Mein kyon rulaun tumhe.




Aapka Love Guru



Click here to join Beautiful Shayari
Click Here to join Beautiful Shayari Group
To get Daily Beautiful Love Shayari,
Sad Heart Touching Shayari,
Hindi Poem, Gazals, Bitter Discourse &
Beautiful Mails In Your Inbox

Thursday, June 09, 2011

Ek Taj Mahal aur bana dete


Uske haseen chahre ko kanwal bana dete,
Uske har shabd par ek gazal bana dete.
Kambkhat marta nahi hai hum par koi,
Varna Ahmedabad me bhi ek Taj Mahal bana dete.
Sab kuch vaar dete ham chaht me uski
Meri aankhon me surat ho bas uski.
Is kadar mehrbaan hota nahi hai hum par koi,
Varna Ahmedabad me bhi ek Taj Mahal bana dete.
Apne aagosh me simet kar rakhe vo hame,
Apni julfon ki chhanv me sulaye vo hame.
Is kadar mohbbat lutata nahi hai hum par koi,
Varna Ahmedabad me bhi ek Taj Mahal bana dete.
Ek bar mar k to dekhe hum par koi,
Ishq k itihaas ko mein dohraunga.
Ek dharti par aur ek chand par,
Uske naam ka taj banaunga.
Is kadar marta bhi to nahi hai hum par koi,
Varna Ahmedabad me bhi ek Taj Mahal bana dete.

Presented By :
Aapka Love Guru


Contact Us

Name

Email *

Message *