So Bhi Jaon To Har Ek Khwaab Bura Hee Dekhun

Thursday, February 16, 2017

So Bhi Jaon To Har Ek Khwaab Bura Hee Dekhun
Mein Kin Aankho Se Dil-o-Jaa Ki Tabaahi Dekhun

Dil Ye Chaahay Ke Palat Jaon Khud Apne Ghar Ko
Jab Bhi Manzil Pe Bhataktay Howay Raahi Dekhun

TU Sehar Hai To Ufaq Se Koi Sooraj Bhi Nikaal
Mein Kahan Tak Tere Maathay Ki Siyaahi Dekhun

Jurm-e-Nakardah Gunaahi Ki Saza Ye Hai Ke Mein
Apni Sochon Ko Bhi Zanjeer Bapaa Hee Dekhun

Baar Haa Tark-e-Ta’lluq Pe Ye Socha Mein Ne
Tujh Ko Dhoondun, Teri Afsurdaah Nigaahi Dekhun

Wo Bhi Kia Shakhs H Khulta Hi Nahi Bhaid us Ka
Jab Bhi Dekhun use Duniya Se Khafaa Hee Dekhun

Kis Se Poochun Mein Pataa Apne Puraanay Ghar Ka
Ajnabi Sheher Mein Har Shakhs Nayaa Hee Dekhun

Wusat-e-Dasht Ki Tanhaayi Se Dar Lagta Hai
Koi Rehro Nahi, Taqsh-e-Kaf-e-Paa Hee Dekhun

Mere Saathi Tou Meri Saf Se Alag Thehray Hain
Apne Haq Mein Kisi Dushman Ki Gawaahi Dekhun

Mere “Mohsin” Tera Mayaar-e-Nazar Kuch Bhi Sahi
Mein Tou Insaan Ke Pekar Mein Khudaa Hee Dekhun

You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *