Love Shayari Collection

Saturday, July 23, 2011



Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nahi,
Jhoota Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nahi.
Galtiyan Apni Maan Bhi Jate,
Par Kya Kare,Kasoor Hamara
Hume Unhone Bataya Hi Nahi.

Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali,
Pyar Ka Naam Jo Aata Hai To Dar Lagta Hai,
Zakham Kuch Aise Bhi Apno Ne Diye Hai Mujhko,
Ab Koi Haath Milata Hai To Dar Lagta Hai

Muhabbat Ki Saza Bay Misaal Di Us Ne,
Udas Rahni Ki Adat Daal Di Us Ne Jab Mare Jism Per,
Wo Apne Zakham Daikh Chukkato Jaan Bhooj Kar,
Kantoo Ki Shal Daal Di Us Ne

Kuch Uljhe Hue Swalon Se Drta He Dil,
Na Jane Tnhai Me Bikhrta Hai Dil,
Unko Pane Ka Khayal Koi Badi Baat Nahi Bas,
Unko Kho Dene Ke Khayal Se Darta Hai Dil.

Kya Zamaana Tha,Ke Hum Roz Mila Karte The,
Raat Bhar Chaand Ke Humraaz Phira Karte The,
Dekh Kar Aaj Jo Hume Chup Chaap Guzar Jate Hai,
Kabhi Us Shaks Se Hum Pyaar Kiya Karte The.

Tumhe Ab Bhul Hi Jaye To Acha Haiye h
Faslay Aur Bhi, Badh Jaye To Acha Hai
Teri Chahatain Hum Ko Nahi Hasil,
To Ab Ghair He Ban Jaye To Acha. Hai

Aaj Keh Diya Phir Na Kehna Kabhi Meri Nazro,
Se Dur Na Rehna Kabhi Khushi Bankar Labzo Pe,
Aaye Ho Tum Ashq Bankar Ankho Se Na Behna Kabhi

Is Dil Ki Gali Mei Sada Ker K To Dekho,
Yeh Rasm-E-Faqiri Ha Ada Ker K To Dekhoreh Jayegi,
Tumhari Her Ik Baat Adhuri,
Tum Khudko Kabhi Mujhse Juda Ker K To Dekho.

Pyar Ki Rasmo Ko Nibhaana Aasaan Nahi Hota,
Uski Kasmon Par Chalna Aasaan Nahi Hota,
Chhodh Diya Humne Pyar Karna Kyunki Apne,
Pyar Ko Kisi Aur Ke Saath Dekhna Aasaan Nahi Hota!

Kadam Yunhi Dagmga Gaye Raaste Se,
Warna Sambhlna Hum Bhi Jaante The,
Thokar Bhi Lagi To Us Pather Se,
Jise Hum Apni Zindagi Maante The.

Tamanna Dil Ki Hasrat Hai,
Poori Ho Jaye To Hum Khush-Kismat Hai
Na Poori Ho To Gam Na Karna,
Adhuri Rehna To Tamanna Ki Fitrat Hai.

Mat Roko Iss Behte Dard Ko,
Saza Hai Yeh Kisi Ke Intzar Ki,
Keh Lo Inhain Ashk Ya Diwangi,
Yeh To Nishani Hai Kisi Ke Pyaar Ki.

Kitabon Mai Rakh Ke Sula Gaya Ham Ko
Ankh Band Ki Aur Bhula Gaya Ham Ko,
Koi Ajeeb Musavar Tha Jo Barishon Ke Mosam Main
Kachi Deewaron Pe Bana Gaya Ham Ko.

Yuhi Apni Dosti Me Gehrai Rahe,
Chahe Kyu Na Umarabhar,
Judai Rahe.1 Hi Aarzu Dil Me Samai Rahe,
Saji Aapki Mehfil,Bhale Yahan Tanhai Rahe.

Kaise Hota Unhe Gam Hamari Ruswai Ka,
Jab Fark Hi Nahi Padta,
Unhe Hamari Judai Ka,
Khamoshi Se Kaha Hamne Jab Sara Gam,
To Ilzaam Laga Diya Bewafai Ka

Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nhi,
Jhoota Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nhi.
Galtiyan Apni Maan Bhi Jate,
Par Kya Kare,
Kasoor Hamara Hume Unhone Bataya Hi Nhi

Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali,
Pyar Ka Naam Jo Aata Hai To Dar Lagta Hai,
Zakham Kuch Aise Bhi Apno Ne Diye Hai Mujhko,
Ab Koi Haath Milata Hai To Dar Lagta Hai

Muhabbat Ki Saza Bay Misaal Di Us Ne
Udas Rahni Ki, Adat Daal Di Us Ne
Jab Mare Jism Per Wo Apne Zakham, Daikh Chukka to
Jaan Bhoojh Kar Kantoo Ki Shal Daal Di Us Ne

Sath Dene Ka Vada Kiya Hai,
Shikwe Sehne Ka Vada Kiya Hai,
Agar Bhula Bi Denge Aap Hume To Kuch Na Kahenge,
Humne To Apko Khusi Dekne Ka Vada Kiya Hai.



Click here to join Beautiful Shayari 

Kashti chali samandar mein

Saturday, July 23, 2011

Good Morning

Good Morning Every One

Saturday, July 23, 2011

Maa Ka Ehteraam

Saturday, July 23, 2011

Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu

" Maa Ka Ehteraam "

Islam Me Khuda Aur Uske Rasool Ke Baad Sabse Ooncha Darja Maa Ka Hai
Ussne Maa Aur Baap Dono Ke Sath Husn-E-Sulook Ki Takeed Ki Hai Aur Unki Ita'at Ka Hukum Diya Hai
Isliye Ke Insan Par Dono Hi Ke Ehsanaat Hain
Laikin Quran Wo Hadees Me Maa ke Ehsanaat Ko Numaya Kiya Gaya Hai
Ek jagah Irshaad Hai :
" Humne Insan Ko Takeed Ki Hai Ke Wo Apne Maa Baap Ke Sath Acha Sulook Kare,
Humne Hukum Diya Ke Mera Shukar Adaa Kar Aur Apne Waldein Ka Bhi Shukar Baja Laa
Meri Hi Taraf Tujhe Palatna Hai,
(Luqman:13)

Rasool Allah Sallalahu Alaihe Wassalam Ne Baap Se Husn-E-Sulook Ki Jis Qadar Takeed Farmayi Hai ..Maa Se Husn-E-Sulook Par Uss Se Zyada Zor Diya Hai
 AAP Ka Irshad Hai :
Mein Aadmi Ko Uski Maa Ke Baare Me Takeed Karta Hoon
Mein Aadmi Ko Usski Maa Ke Baare Me Takeed Karta Hoon,
Mein Aadmi Ko Usski Maa Ke Baare Me Takeed Karta Hoon,
Mein Aadmi Ko Uske Baap ke Baare Me Takeed Karta Hoon,

Hazrat Aiyesha RA Farmate Hain :
Meine Arz Kiya Aaye Allah ke Rasool Sallalahu Alaihe Wassalam
Aurat Par Sabse Zyada Haq Kiska Hai ??
AAP Ne Farmaya :
Shouhar Ka...

Meine Pucha Mard Par Sabse Badaa Haq Kiska Hai ?
AAP Ne Farmaya Uski Maa Ka...
(ibn e maja, kitab Ul Adab Baab Waldein)
Rasool Allah Sallalahu Alaihe Wassalam Ne
Dus Musibatoun Ka Zikr Farmaya Hai Aur Kaha Ke Jan Meri Ummat Jab Inka Artekab Karne Lagegi Toh Usspar Musibatoun Aur Azab Ka Nuzool Shuru Hojayega
Unnme Se Ye Ek Hai :

Aadmi Apni Biwi Ki Baat Manega
Aur Maa Ki Nafarmani Karega
Dost Ke Sath Acha Rawaiyah Iqtiyaar Karega
Aur Baap Ke Sath Uska Rawaiyah Saqt Hoga.....
( Buqari,kitab-ul-adab Huqooq Alwaledein )

Islam Ne Maa Baap Ke Khanooni Huqooq Adaa Karne Hi Par Zor Nahi Diya, Balke Unke Sath Husn-E-Sulook Ki Takeed Farmayi Hai
Issme Ye Baat Jahan Daqil Hai Ke Unke Khanooni Haq Khush Dili Aur Mohabbat Ke Sath Adaa Kiye Jayein Aur Unhe Bojh Naa Samjha Jaye
Wahin Ussme Ye Baat Bhi Aati Hai Ke Khanooni Hudood Se Aage Badh Kar Unke Sath Behtar Se Behtar Sulook Kiya Jaye
Jo Insaan Ke Bass Me Hai
Ussme Bhi Maa Ka Haq Muqaddam Hai
Baap Ke Sath Jo Rawaiyah Iqtiyaar Kiya Jata Hai Uss se Aalaa Rawaiyah Maa Ke Sath Iqtiyar Kiya Jana Chahiye

Aaye Allah Hum Me Itni Taqat Itni Himmat Itni Aqqal De Ki Hum Apne Waldein Ke Huqooq Ko Baqoobi Adaa Kar Sakein...
Ameeeeen Ya Rabbul Alameeen


= = = = = = = = = = = = = = = = = = = =
Aapki Dua Ki Talib
Mrs Rubina Yasmeen
= = = = = = = = = = = = = = = = = = = =

Join My Group
  








Click here to join Beautiful Shayari 

Contact Us

Name

Email *

Message *