Lash thi isliye tairati hi rahi
doobne ke liye jindagi chaiye
Bhid mein kho gayi kuhd meri shakl bhi
Khud se dedaar ko Tanahaaye chahiye
Aag ne bujha diye is shahar ke chirag
Roshni ke liye chandani chaiye
Ab nahi khalti mujhe dushmon ki kami
is rasam ke liye bas dosti hi chahiye
na dawa chaihye na dua chahiye
hoon musafir mujhe rukhsati chahiye
Collecting Presented By :
Sharam se wo PalkeN jhukaane Lage haiN,
ZabaaN se bahot LadkhaDaane Lage haiN.
Muhabbat na keeje, hame kah ke Zaalim,
Dabe Honth phir Muskuraane Lage haiN.
Mere Dekhne se, Jhijhak Uff Khudaaya,
Dupatte se Muh Ko Chupaane Lage hain.
Sunaa hai wo Aaye hain wapaas shahar ko,
SitaaroN se Ghar Hum Sajaane lage hain.
Wo khat me to Poochaa kareN haal Dil ka,
Mile hain to AankheN Churaane lage hain.
khamoshii pe uske,na Gham "shaad" kar Tuu,
Wo Apnaa Samajhh, Aazmaane Lage hain.
Collecting Presented By :
kis qadar kaam mein aate hein gulab
roothe logon ko manate hein gulab
tere hotoun ka khayal aata hai
jab mere hath mein aate hein gilab
jab bhi khilte hein to teri batein
kis qadar yaad dilate hein gulab
kya kahen kitnee khushee hoti hai
log jab ghar mein lagate hein gulab
jab kabhi rang pe aate hein gulab
har taraf aag lagate hein gulab
Collecting Presented By :
Shaayad aagaaz hua phir kisi afsaane ka
huqm aadam ko hai jannat se nikal jaane ka
un se kuch keh to raha hoon magar a ALLAH na kare
wo bhi mafhoom na samjhe mere afsaane ka
dekhna-dekhana ye hazrat-e-vaaiz hi na ho
raasta pooch raha hai koi maikhaane ka
beta'alluq tere aage se guzar jaata hoon
ye bhi ek husn-e-talab hai tere deewane ka
hashr tak garmi-e-hungama-e-hasti hai "shakeel"
silsila khatm na hoga mere afsaane ka.
Collecting Presented By :