Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simte to dil-e-aashiq,faile to zamaana hai
hum ishq ke maaro'n ka itna hi fasaana hai
rone ko nahi koi hansne ko zamaana hai
wo aur wafa-dushman,maane hain na maana hai
sab dil ki sharaarat hai aankhon ka bahaana hai
kya husn ne samjha hai,kya ishq ne jaana hai
hum khaaqnasheeno'n ki thokar mein zamaana hai
ae ishq-e-junoo'n-pesha!haan ishq-e-junoo'n pesha
aaj ek sitamgar ko hans-hans ke rulaana hai
ye ishq nahi'n aasaa'n bas itna samajh leeje
ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
aansu to bahot se hain aankhon mein 'jigar' lekin
bindh jaaye so moti hai reh jaaye so daana hai.
Shayar : Jigar Muradabadi
Collecting Presented By :