Bewafa yun tera muskurana bhool jane ke kabil nahin hai
maine jo zakhm khaya hai dil pe woh dikhane ke kabil nahi hai
maine khat likh ke unko bulaya aake kasid ne dukhda sunaya
unke pao main mehndi lagi hai aane jane ke kabil nahi hai
bewafa yun tera muskurana bhool jane ke kabil nahin hai
maine poocha ke kal shab kaha the pehle sharmaye phir jal ke bole
aap woh baat kyun puchte hai jo batane ke kabil nahi hai
bewafa yun tera muskurana bhool jane ke kabil nahin hai
teero talwar tum mat uthao kyun yeh karte ho yeh bekar zehmat
jante hain tumhari kalai bojh uthane ke kabil nahi hai
bewafa yun tera muskurana bhool jane ke kabil nahin hai
maine jab bhi ki arze tamanna zulf ki tarah balkha ke bole
aise aashiq ko suli chada do reham khane ke kabil nahi hai
bewafa yun tera muskurana bhool jane ke kabil nahin hai
main jo zakhm khaya hai dil pe woh dikhane ke kabil nahi hai.
Collecting Presented By :