Sharam se wo PalkeN jhukaane Lage haiN,
ZabaaN se bahot LadkhaDaane Lage haiN.
Muhabbat na keeje, hame kah ke Zaalim,
Dabe Honth phir Muskuraane Lage haiN.
Mere Dekhne se, Jhijhak Uff Khudaaya,
Dupatte se Muh Ko Chupaane Lage hain.
Sunaa hai wo Aaye hain wapaas shahar ko,
SitaaroN se Ghar Hum Sajaane lage hain.
Wo khat me to Poochaa kareN haal Dil ka,
Mile hain to AankheN Churaane lage hain.
khamoshii pe uske,na Gham "shaad" kar Tuu,
Wo Apnaa Samajhh, Aazmaane Lage hain.
Collecting Presented By :
bijliyoN kii hansii uRaane ko
Khud jalaataa huuN aashiyaane ko
(aashiyaanaa : shelter, home)
ro rahaa hai agarche dil phir bhii
muskuraataa huuN muskuraane ko
mutlaqan dilkashii na thii us meN
kaun suntaa mere fasaane ko
(mutlaqan : entirely, absolutely; fasaanaa : story)
chhiin lii us ne taaqat-e-parvaaz
aag lag jaaye aashiyaane ko
(taaqat-e-parvaaz : flyin ability)
"Shaad" itnaa hii ham samajhte haiN
ham samajhte nahiiN zamaane koi
Shayar : Naresh Kumar Shaad
Collecting Presented By :