Milna tha ittefaqu bichdna naseeb tha
wo Itni door ho gaya jitna kareeb tha
Myn usko dekhne ko tarasti hi rah gayee
Jis shakhs ki hatheli mein mera naseeb tha
Basti ke sare log hi aatish paras the
Ghar jal raha tha aur samandar kareeb tha
Mariam kahan talash kare apne khoon ko
Har shakhs ke gale mein nishane saleeb tha
Dafna diya gaya mujhe chandi ki qabr mein
myn jis ko chahti thi wo ladka qareeb tha
Anjum myn jeet kar bhi yehi sochti rahi
Jo haar kar gay hai bahut khosh-naseeb tha.
wo itni door ho gaya jitna kareeb tha.
© Anjum Rahbar (Shayera)
Collecting Presented By :