Shaayad aagaaz hua phir kisi afsaane ka
huqm aadam ko hai jannat se nikal jaane ka
un se kuch keh to raha hoon magar a ALLAH na kare
wo bhi mafhoom na samjhe mere afsaane ka
dekhna-dekhana ye hazrat-e-vaaiz hi na ho
raasta pooch raha hai koi maikhaane ka
beta'alluq tere aage se guzar jaata hoon
ye bhi ek husn-e-talab hai tere deewane ka
hashr tak garmi-e-hungama-e-hasti hai "shakeel"
silsila khatm na hoga mere afsaane ka.
Collecting Presented By :
wohi aable hain wohi jalan koi soze dil main kami nahin
Jo laga ke aag gaye ho tum wo lagi hui hai bujhi nahin
Teri yaad aisi hai bawafaa pase-marg bhi na hui juda
Teri yaad main hum mit gaye teri yad dil se miti nahin
Kisi aur ki ye zabeen nahin ye meri zabeene niyaz hai
Ke jis ke dar se lipat gayee phir uske dar se uthi nahin
Meri zindagi pe na muskura mujhe zaindagi ka alam nahin
Jise tere gham se ho wasta wo khizan bahar se kam nahin
Main qafas main band hoon baghbaan mujhe kya garaz hai bahar se
Na chaman hai mera na aashiyan to khizan bhi aaye to gham nahin
Wohi karwan wohi raste wohi zindagi wohi marhale
Magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin
Na phana meri na baqaan meri mujhe ai shakeel na dhundiye
Main kisi ka husn khayal hoon mera kuch wajoodo-alam nahin
Shayar- Shakeel Badayuni
Collecting Presented By :