ho bandhoo prem mat kariyoo
mat kariyoo tum prem
is bhasha ki lipi mit gaii
mit gaii har har cheez
is jag mein ab payar hi kya
bikti hai har cheez
ho bandhoo prem mat kariyoo
mat kariyoo tum prem
jeet le jo dil ko aisa na koii
koii na utra dil ke teer
payar ne bakshe kisi raja ko
sabit bacha na koi faqeer
ho bandhoo prem mat kariyoo
mat kariyoo tum prem
Nafees
Nafees Ahmed
Milne pe tere hum ko shikayat nahi rahi
haan tujh me baqi murawat nahi rahi
daor e tanzuli hai ki is daor mein miyan
sach bat bolne ki bhi himmat nahi rahi
daore nishaat mein the ahbaab hum rikab
daor e khizaa mein koi jamat nahi rahi
tere karam per ashk jo nikle hai zar zar
lutf o karam ki ab mujhe adat nahi rahi
sach ko kia hai qatal, kuch kam nahi hai ye
jhotoo se ab hume bhi adawat nahi rahi
aate the jis ke dam per mahfil mein hum Nafees
wo lutf na raha wo inayat nahi rahi
Written by :
Nafees Ahmed Khan Nafees
(tanzuli: girawat,Nishat: khushi, humrikab:sath sath,Khizaa:patjhad,jamat:giroh,ashk:ansoo,zar zar:zor zor se, luft o karam : mehrbani, adwat: dushmani)