Farz Karo Hum Ahle Wafa Hon, Farz Karo Deewanay Ho
Farz Karo Yeh Dono Batein Jhootee Ho Afsanay Ho
Farz Karo Yeh Jee Ki Bipta, Jee Say Jorh Sunai Ho
Farz Karo Abhi Or Ho Itni, Aadhi Hum Nay Chupai Ho
Farz Karo Tumhain Khush Kernay Kay DHodhay Humnay Bahany Ho
Farz Karo Yeh Nain Tumharay Such Much Kay Maykhanay Ho
Farz Karo Yeh Rog Ho Jhoota, Jhooti Peet Hamari Ho
Farz Karo Is Peet Kay Rog Main Sans Bhi Hum Per Bhari Ho
Farz Karo Yeh Jog Bajog Ka Hum Nay Dhong Rachaya Ho
Farz Karo Bus Yahi Haqeeqat Baqi Sub Kuch Maya Ho
Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara,
Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara,
Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara,
Darwaza khula rakhna,
Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse,
Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse,
Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse,
Darwaza khula rakhna,
Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai,
Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai,
Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai,
Darwaza khula rakhna,
Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,
Darwaza khula rakhna,
Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna,
Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna,
Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna,
Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.
Ibn-e-Insha Poetry
Warm & Regards
iqbal sheikh
Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!
duniya men mat dhoond naam e wafa ae dost
dilon se khelte hain log bna k hamsafar apna.
Warm & Regards
iqbal sheikh
Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!
woh pyar youn karta hai sambhalnay nahi daita,
phir dukh k samunder main ubharnay nahi daita,
us ki jafa bhi mashroot hai wafa k saaath ..,
woh dard to daita hai par ronay nahi daita..,
Warm & Regards
iqbal sheikh Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!
Dil kaa ye haal kahaa.n thh-aa peh-lay
Yuu.n naa ghabraa-ye huu-ay phir-tay thh-ay
Dil ajj-abb kuu.nj-e-amaa.n thh-aa peh-lay
Profound lyrics, especially the first two couplets:
It appears that the poet, Nasir Kazmi is narrating
the phase of maturity/adulthood.
Warm & Regards
iqbal sheikh Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!