patthar ko bhi dete hain zamane mein jilaa ham
duniya ki nigahon mein hain aeenaa numaa ham
har shai mein numayan hai tira jalva khudaya
karte hain shab-o-roz tiri humd-o-sana ham
ik tu hi zamane ki har ik shai pe hai qadir
kaise na kahen tujhko yahan apna khudaa ham
maula! hamein jo kuch bhi yahan tune diya hai
mitne na kabhi denge ye ehsaan tiraa ham
maan! teri mohabbat ka koi mol nahin hai
kar hi nahin sakte hain tira qarz adaa ham
manzil unhein har gaam pe deti hai sadaen
bikhri hui taqat ko jo karte hain faraaham
hathon mein hai qatil ke ab insaaf-e-adalat
nakarda gunahon ki hi pate hain sazaa ham
mana ki khuda uska nigehbaan hai 'sahil
har doopti kashti ko magar denge sadaa ham
Collecting Presented By :