Koi Harf Aae Nahin Nahin
Mujhe Khauf-e-Duniya Nahin
Tera Wasl Ae Meri Dilruba
Nahin Meri Khismat To Kya Huwa
Meri Mahjabeen Yehi Kam Hai Kya
Teri Hasraton Ka To Saath Hai......
The desire to excel is exclusive of the fact whether someone else appreciates it or not. "Excellence" is a drive from inside, not outside. Excellence is not for someone else to notice but for your own satisfaction and efficiency...
Main Tere Pyaar May Ye Jaan Kya Imaan Deta
Kaash Tu Badhke Ye Kahdeti Ke Ham Aashiq Hain
Jeet Hi Jaata Main Jung Tu Jo Sahara Deti
Do Khadam Saath Bhi Chalti To Tujhe Paa Leta
Thali Ek Haath Se Bajti Nahi Kuch Bhi Karlo
Dono Milte Hain To Ek Goonj Janam Leti Hai
Ab Teri Yaad Hai, Nam Aankh, Lab Pe Aanhen Hain
Tujhse Main Dil Ko Lagane Ki Saza Paaya Hoon
Dard Hota Hai Badan May To Dawa Karte Hain
Dard-e-Dil Dard-e-Jigar Ki To Dawa Kuch Bhi Nahi
Ishq Ka Roog Nirala Hai Lagey Jisko Rameez
Dukh Se Daman Ko Bhare Chaen Mayasser Na Kare
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]
Har Ghadi Tujh Pe Hi Mandlaon Main
Phool Hai Tu Tera Bhanwra Hoon Main
Bich Main Jaonga Tere Khadmaon May
Tu Hai Raahi Tera Rastaa Hoon Main
Aa Lipat Jayen Ek Duje Se
Bel Hai Tu Tera Mandwa Hoon Main
(Bel = Creeper, Mandwa = Support to climb the creeper)
Tujh Se Raoshan Hai Kayenaat Meri
Chand Hai Tu Andheri Raat Hoon Main
Rah Na Payenge Ham Juda Ho Ke
Phool Hai Tu Teri Khushbo Hoon Main
Har Lamha Saath Tere Raheta Hoon
Tu Hawa Hai Tera Jhonka Hoon Main
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]