Collection Shayari
Yeh nigaah-e-husn jhukee jhukee, yeh jabeen-e-naaz dhuaaN dhuaaN By
Saturday, August 24, 2013Yeh nigaah-e-husn jhukee jhukee, yeh jabeen-e-naaz dhuaaN dhuaaN
Meray bas ki ab naheeN daastaaN, mera kaaNpta hai ruaaN ruaaN
Ho tilism-e-aalaam-e-raNg o boo, ke hareem-e-anjum o kehkashaaN
Mera saath dey gee mery nazar, woh chhupeiN ge jaa ke kahaaN kahaaN?
Meray dil pe naqsh haiN aaj tak woh ba ehtiyaat nawaazisheiN
Woh Ghuroor o zabt 'ayaaN 'ayaaN, woh Khuloos o rabt nehaaN nehaaN
Na safar ba shart-e-ma-aal hai, na talab baqaid-e-sawaal hai
Faqat aik sairy-e-zauq ko, maiN bhaTak raha huN kahaaaN kahaaN
Mery KhilwatoN ki ye jannateiN kayee baar saj ke ujaR chukeeN
Mujhay baarha ye huwa gumaaN, ke tum aa rahey jo kashaaN kashaaN
HaiN hunooz yaad woh qurbateiN, woh neyaaz o naaz woh sohbateiN
Woh tuloo'-e-subha Khunuk Khunuk, woh fizaa-e-shaam jawaaN jawaaN
Yeh taKhayyulaat ki zindagee, yeh tasawwuraat ki bandagee
Faqat ek faraib-e-Kheyaal par mery zindagee hai rawaaN dawaaN
Collecting Presented By :