kahan kis taraf aur ham dekhte hain
tujhe her taraf aey sanam dekhte hain
mujhe ye gila hai ke ahle zamana
tujhe meri aankhon se kam dekhte hain
teri aank se dekhte hain jahan ko
teri aankh ko jaame jam dekhte hain
sarapa tera samne jab bhi aaey
to maail ghazal per qalam dekhte hain
agar ham qadam ho kabhi tum hamare
to dunya ko zere qadam dekhte hain
kisi rukh pe jab thehrti hain nigahain
tumhi ko tasawwur mein ham dekhte hain
nigahain milaain ke khud ko sanbhalain
wo ham ko bachashme karam dekhte hain
ye lagta hai bas ik tumhari kami thee
ke ham ghar ko rashke erum dekhte hain
wo khole huwe baal aate hain qasir
nikalta huwa apna dam dekhte hain
Collecting Presented By :