Collection Shayari Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna Monday, August 19, 2013 Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna kabhi darakhton pe nam likhna hamein bhi hai yad aj tak wo nazar se harf-e-salam likhna wo chand chehre wo behki baten sulagte din the mehakti raten wo chote-chote se kagzon par muhabbaton k payam likhna gulab chehron se dil lagana wo chupke chupke nazar milana wo arzuon k khwab bunna wo qissa-e-natamam likhna mere nagar ki hasin fizao kahin jo un k nishan pao to puchna ye kahan base ho kahan hain un ka qayam likhna gai ruton mein ?Hassan? hamara bas ek hi to ye mashgala thavkisi k chehre ko subah kahna kisi ki zulfon ko sham likhna Collecting Presented By : Visit Recent Shayaries Ankho Hi Ankho main Har Pal Kisi Ka Chehra Sakoon-E-Jaan Ke Liye Meri Duniya Hai Tu Mera Sahara Hai Sanam Humare baad chali rasm-e-dosti k nahi? Phool Bhi Khilgaye Gul Se Gul Milgaye In Ankhon se Sapne Churana Nahi