Panio'N panio'N jab chaand ka haala utraa
Neend kee jheel pe, ik khawab purana utraa
Aazmaish mein kaha'N, ishq bhi poora utraa
Husn ke aagy to, taqdeer ka likha utraa
Dhoop dhalne lagi, deewar se saya utraa
Sat'ha hamvaar hue, payar ka daria utraa
Yaad se naam mitta, zehan se chehra utraa
Chand lamho'N mein nazar se teri, kya kya utraa
Aaj kee shab mein paresha'N hoon to yn lagta hy
Aaj mahtaab ka chehra bhi hy, utraa utraa
Meri vehshat, ram-e-aahoo se kahi'N barh kar thi
Jab meri zaat mein tanhai ka sehraa utraa
Ik shab-e-gham ke andhery pe nahe hy mokoof
Tu ne jo zakhm lagaya hy, wo gehra utraa
PARVEEN SHAKIR
from : KHUSHBOO
Collecting Presented By :
Kamaal-e-zabt ko khud bhi to aazmaooNgi
meiN apnay haath se uss ki dulhan sajaooNgi
supurd kar ke usse chandni ke haathoN meiN
mein apnay gHar ke andheroN mein laut aooNgi
badan ke karb ko wo bhi samajh na paai ga
meiN dil meiN Rounga, aaNkHoN meiN muskuraooNgi
wo kiya gaya ke rafaqat ke saaray lutf gai
meiN kis se rooth sakooNgi, kise manaooNgi
wo ik rishta-e-be-naam bhi nahiN, lekin
meiN ab bhi uss ke ishaaroN pe sar jhukaooNgi
sama�atoN meiN gHanay jangaloN ki saaNseiN heiN
meiN ab kabhi teri awaaz sun na paooNgi
jawaaz dhoondh raha tha naiee muhabbat ka
wo keh raha tha ke meiN uss ko bhool jaooNgi
Parveen Shakir
Collecting Presented By :
Khushbuu Hai Vo To Chhuu Ke Badan Ko Guzar Na Jaaye
Jab Tak Mere Vajuud Ke Andar Utar Na Jaaye
(vajuud = Existence)
Khud Phuul Ne Bhii Honth Kiye Apane Niim-vaa
Chorii Tamaam Rang Kii Titalii Ke Sar Na Jaaye
(niim-vaa = Half Open; Tamaam = Whole/entire)
(titalii = Butterfly)
Is Khauf Se Vo Saath Nibhaane Ke Haq Men Hai
Khokar Mujhe Ye Ladakii Kahiin Dukh Se Mar Na Jaaye
(khauf = Fear)
Palkon Ko Us Kii Apane Dupatte Se Ponch Duun
Kal Ke Safar Men Aaj Kii Gard-e-safar Na Jaaye
(gard = Dust)
Main Kis Ke Haath Bhejuun Use Aaj Kii Duaa
Qaasid Havaa Sitaaraa Ko_ii Us Ke Ghar Na Jaaye
Parveen Shakir