Kamaal-e-zabt ko khud bhi to aazmaooNgi
Friday, March 08, 2013Kamaal-e-zabt ko khud bhi to aazmaooNgi
meiN apnay haath se uss ki dulhan sajaooNgi
supurd kar ke usse chandni ke haathoN meiN
mein apnay gHar ke andheroN mein laut aooNgi
badan ke karb ko wo bhi samajh na paai ga
meiN dil meiN Rounga, aaNkHoN meiN muskuraooNgi
wo kiya gaya ke rafaqat ke saaray lutf gai
meiN kis se rooth sakooNgi, kise manaooNgi
wo ik rishta-e-be-naam bhi nahiN, lekin
meiN ab bhi uss ke ishaaroN pe sar jhukaooNgi
sama�atoN meiN gHanay jangaloN ki saaNseiN heiN
meiN ab kabhi teri awaaz sun na paooNgi
jawaaz dhoondh raha tha naiee muhabbat ka
wo keh raha tha ke meiN uss ko bhool jaooNgi
Parveen Shakir
Collecting Presented By :
0 blogger-facebook