Namanga Ghoont Pani Ka kissi Se...
Monday, March 11, 2013Na ho naraz ay dariya keh itni baibassi mein bhi,
Namanga ghoont pani ka kissi se tishnagi mein bhi .
Bata aisi jagah mujhko jahan barish nahin hoti ,
Hai daikha main ne pehron behth kr teri galli mein bhi .
Na janne kis tarah raton ko tarre tor laate hain ,
Nazer aata nahih hai jin ko din kiroshni mein bhi ,
Bichar kr karwan se main ne manzal kho to di laikun ,
Na choote mujh se aadab-e-safar bairahravi mein bhi
Main dewar-e-chamun pr behth kr gata raha barson ,
Ganwa kr aashiyan upna gullon ki dosti mein bhi ,
Bahar aai to phir sehn-e-chamun mein ja ke behthon ga ,
Mila tha wo jahan mujh ko gozashta farwari mein bhi
Karon jub yad to baisakhtah lub pr hansi aay ,
Koi lamha to aisa aay meri zindgi mein bhi
Mirre aansoo girre us pr to such hi yeh kaha us ne ,
Mohabbat dhoond laiti hai hazaron ghum khushi mein bhi
Kissi ke hall pr pehle na tha yun aasman roya ,
Bala ka dard tha Afzal tumhari bansri mein bhi.
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
0 blogger-facebook