Doston bade dino baad aap ke beach hazir howa hoon......
Doston Ki Ye Harkate Tauba
Peeth Peache Hain Gibate Tauba
Phool Khusbo Hina Dhanak Shabnam
Ye Tumhari Latafate Tauba
Ghar Jalana Tasalli Bhi Dena
Khoob Hain Ye Inayate Tauba
Hath Milte Hain Dil Nahi Milte
Dil Ke Andar Hai Nafrate Tauba
Hai Banawat Bahut Khuloos Hai Kam
Is Sadi ki Muhabbate Tauba
Unko Hum Se Sada Gile Shikwe
Tauba Tauba Ye Chahate Tauba
Hum To Girwida Ho Gaye Danish
Tere Shairon Ki Jiddate Tauba
Collected By :
Asrar Ahmed Danish
Halaal Sab Kamaiyan Hawa Uda Ke Le Gayi
Wo Barkaton Ki Rotiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Hai Gunch Gunch Ghamzdah Kali Kali Udas Hai
Chaman Ki Jab Se Titliyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Kahan Hain Galib Aur Meer Ki Sukhan Taraziyaan
Ghazal Ki Wo Bulandiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Bhare Shabaab Me Bhi Hain Ye ladkiyan Qamosh Kio
Wo Naaz Aur Shukhiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Hai Gulistan-e-Dahar Me Wafa Ka Ab Chalan Kahan
Wafa Ke Phool Pattiyaan Hawa Uda Le Gayi
Guroor Kar Raha Tha Jin Ke Bal Pe Bepanah Tu
Wo Teri Saari Shaktiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Bhatak Rahe Hain Nafraton Ki Wadion Me Danish Aaj
Khuloos Wali Bastiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Written by :
Asrar Ahmed Danish
Riyadh, Saudi Arabia
~Don't Miss This Special Shayaries!~ |