Lafzon ka ek chamkta Mahal de ke jaunga,
Ehsash ka ek khilta kanwal de ke jaunga !
Tanhayeeyon me sath rahe tere Jo sada,
Oh dosti ka jazba tujhe de ke jaunga !
Duniya bade fareb ki Bach ke niklna,
Mai jazba-e-khulus tujhe de ke jaunga !
Khilne ki aarju aur mahakne ki justju,
Tohfa e hasraton ka tujhe de ke jaunga !
Roshan rahe gulshaneejad Tere noor se,
Tere labon ko aisi hansi de ke jaunga !
Jaunga bade sauk se kuchh der to thahar,
Tasweer dil me teri eek Le ke jaunga !
Jana to kisi roj hai har saks ko yahan,
Moti e aansuon ke tere Le ke jaunga !
Kuchh bhi to mere pas nahi pyar ke siwa,
Shayar Hun eek haseen gazal de ke jaunga !
Hasratein puri karne ka maja kuch aur hai
teri baahon mein marne ka maja kuch aur hai .
peekar to madhosh sab hote hain aksar
teri aankhon se peene ka maja kuch aur hai .
manjil to paa leta yun to akela main bhi
par tere sath hone ka maja kuch aur hai .
hanste to sab hain mehfilon mein hamadam
par rotey huye muskuraane ka maja kuch aur hai .
har aarju dil ki aaj ufaan par hai yun to
par kuch baatein chhupaane ka maja kuch aur hai .
jo likh kar tu hamesha bhool jata hai
kabhi kabhi wo gajal gun-gunaane ka maja kuch aur hai
Her subah main us ki chaah main bikher jata hun,
Din guzar jata hai per, main usi haal main hi hota hun,
Kabhi gamzada, to kahbi berukhi,
Us ki yaad ki tapish say aksar jal jata hun,
Kaisay kahun us k janay say mera kuch b ab raha nai,,
Bhatakta hun main khud hi aksar,khud hi phir sanbhal jata hun,
Din dhalnay say bhi nai dhaltay us ki yaad k pehlu,
Phir raat ki tarikhi main usi raah pay nikal jata hun.
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****