ab tujh bin mujhse yun akele raha nhi jaata...
Khoobsurat hai mera yaar itna ki kya bataun me yaaro....
bin dekhe unko mujhe ab raha nhi jaata...
Kahta hun us se main ki tu khuda ka bheja farishta hai...
kahti hai wo mujhse pyar dharti par farishton se kiya nhi jaata...
Unke labo ki wo chhuan wo bheege bheege gesuon ki mahak...
kya asar karte hai mere dil par ye mujhse ab kaha nhi jaata...
Karta hun main har pal har ghadi bas unka hi intzaar...
jaane kab hoga milan unse, ab ye intzaar aur kiya nhi jaata......!!
************-***********
Collecting By : Avinash Kundan
Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara,
Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara,
Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara,
Darwaza khula rakhna,
Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse,
Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse,
Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse,
Darwaza khula rakhna,
Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai,
Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai,
Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai,
Darwaza khula rakhna,
Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,
Darwaza khula rakhna,
Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna,
Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna,
Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna,
Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.
Ibn-e-Insha Poetry
Warm & Regards
iqbal sheikh
Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!
Main Tere Pyaar May Ye Jaan Kya Imaan Deta
Kaash Tu Badhke Ye Kahdeti Ke Ham Aashiq Hain
Jeet Hi Jaata Main Jung Tu Jo Sahara Deti
Do Khadam Saath Bhi Chalti To Tujhe Paa Leta
Thali Ek Haath Se Bajti Nahi Kuch Bhi Karlo
Dono Milte Hain To Ek Goonj Janam Leti Hai
Ab Teri Yaad Hai, Nam Aankh, Lab Pe Aanhen Hain
Tujhse Main Dil Ko Lagane Ki Saza Paaya Hoon
Dard Hota Hai Badan May To Dawa Karte Hain
Dard-e-Dil Dard-e-Jigar Ki To Dawa Kuch Bhi Nahi
Ishq Ka Roog Nirala Hai Lagey Jisko Rameez
Dukh Se Daman Ko Bhare Chaen Mayasser Na Kare
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]
Har Ghadi Tujh Pe Hi Mandlaon Main
Phool Hai Tu Tera Bhanwra Hoon Main
Bich Main Jaonga Tere Khadmaon May
Tu Hai Raahi Tera Rastaa Hoon Main
Aa Lipat Jayen Ek Duje Se
Bel Hai Tu Tera Mandwa Hoon Main
(Bel = Creeper, Mandwa = Support to climb the creeper)
Tujh Se Raoshan Hai Kayenaat Meri
Chand Hai Tu Andheri Raat Hoon Main
Rah Na Payenge Ham Juda Ho Ke
Phool Hai Tu Teri Khushbo Hoon Main
Har Lamha Saath Tere Raheta Hoon
Tu Hawa Hai Tera Jhonka Hoon Main
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]
Main Bhi Dil Jaan Jigar Rakhta Hoon
Aankhen Nam Aah Sarad Rakhta Hoon
Haal Kya Puchtey Ho Mujh se Mera
Gham May Bhi Main Bahaal Lagta hoon
Meri Bechaeniyon May Sabr Bhi Hai Duniya Ka
Teri Tasweer Ke Bhi Sang Main Ji Sakta Hoon
Tere Galon Pe Abhi Rang-e-Gulal Hai Baakhi
Door Raheta Hoon Magar Tujhpe Nazar Rakhta Hoon
Ji Ko Ab Sabr Mere Kyon Na Mayassar Ho Rameez
Har Ghadi Khud Ko Tasawwer May Uske Rakhta Hoon
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]