Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte

Thursday, June 16, 2016


 
Same as above which is in Urdu...
Ashfaq Ahmed kahte hain!
Mera pahla bacha meri goud may tha.
Main ek baagh may baetha tha.
Aur maali kaam kar rahe they.
Ek maali mere paas aaya aur kahne laga "mashaAllah bahot pyara bacha hai-Allah is ki umar daraz kare"-main ne us se pucha "tumhare kitne bachey hain?"-wo kahne laga "mere aath (8) bachey hain"-jab is ne aath (8) bachon ka zikar kiya to main ne kaha ke "Allah un sab ko salamat rakhey-laekin main apni mohabbat ko aath bachon may taqhseem karne pe taiyar nahi hoon". ye sun kar maali muskuraya aur meri taraf cahera kar ke kahne laga.
"Sahab Ji!!
Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte... Mohabbat Ko Zarb Diya Karte Hain"
(Taqhseem means Divide, and Zarb Means Multiply)
So just multiply to make it more, don't divide it.
 
RAMEEZ BAKBAK

You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *