Beautiful Shayari

Naseebon ki baat

Wednesday, February 17, 2016


kisi ko mil jaye wafa naseebon ki baat hai
koi rota rahe sada naseebon ki baat hai,

kisi ko chahna khud se barh kar
na ban sake wo apna naseebon ki baat hai,

koi kisi ki yaad mai roya kare bahut
koi kare na parwah naseebon ki baat hai,

apni jaan bhi waar deta hai kisi par koi
phir bhi rahe koi khafa naseebon ki baat hai,

kisi ko mil jayen khushiyaan hazaar
koi dhoondta rahe wafa naseebon ki baat hai,

koi mil jaye kisi ko bin maange hi
koi umar bhar karta rahe dua naseebon ki baat hai...

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS
Chandni Verma

Chandni Verma

Naseebon ki baat

Tuesday, June 25, 2013

Chandni Verma

kathin safar

Tuesday, January 22, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Kathan Safar Hai Mohabbaton Ka,
Sarab Raste Hain Soch Lena,

Wo Chor Jate Hain Ek Qadam Par,
Jo Saath Chalte Hain Soch Lena,

Yeh Reet Tum Na Nibha Sako Gay,
Na Sang Rehne Ki Baat Karna,

Ke Ishq Waloun Ki Rahguzar Main,
Aazab Milte Hain Soch Lena,

Tumhein Kaha Tha Bana K Apna,
Fareb Deta Hai Yeh Zamana,

Tumhein Kaha Tha Ke Aasteeno Mai,
Saanp Palte Hain Soch Lena,

Wo Ek Basti Jahaan Pe Hum Tum,
Mile The Mil K Bichar Gaye The

Wahaan Pe Abh Bhi Meri Wafa Ke,
Chiraagh Jalte Hain Soch Lena....

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Chandni Verma
chandniverma86@yahoo.com

Chandni Verma

Chalo ek aur duniya mai...

Sunday, January 20, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Chalo EK Aur Duniya Mein,
Tumhare Saath Chaltay Hain..

Jahan Halaat Kuch Bhi Hoon,
Magar Hum Saath Rehte Hoon..

Jahaan Mousam Koi Bhi Ho,
Judayi Ka Na Ho Lekin..

Jahan Chand Suraj Bhi Tum Ho,
Hawa,Roshnii,Khushboo Ka Rung Tum Se Ho..

Jahan Par Dil Dharakne Ka,
Har EK Ehsaas Tum Se Ho..

Jahaan Par Mere Jeene Ki,
Saari... Aas Tum Se Ho..

Chalo EK Aur Duniya Mein,
Tumhare Saath Chalte Hain....

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS :
Chandni Verma

Contact Us

Name

Email *

Message *