Arzoo

Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte

Thursday, June 16, 2016


 
Same as above which is in Urdu...
Ashfaq Ahmed kahte hain!
Mera pahla bacha meri goud may tha.
Main ek baagh may baetha tha.
Aur maali kaam kar rahe they.
Ek maali mere paas aaya aur kahne laga "mashaAllah bahot pyara bacha hai-Allah is ki umar daraz kare"-main ne us se pucha "tumhare kitne bachey hain?"-wo kahne laga "mere aath (8) bachey hain"-jab is ne aath (8) bachon ka zikar kiya to main ne kaha ke "Allah un sab ko salamat rakhey-laekin main apni mohabbat ko aath bachon may taqhseem karne pe taiyar nahi hoon". ye sun kar maali muskuraya aur meri taraf cahera kar ke kahne laga.
"Sahab Ji!!
Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte... Mohabbat Ko Zarb Diya Karte Hain"
(Taqhseem means Divide, and Zarb Means Multiply)
So just multiply to make it more, don't divide it.
 
RAMEEZ BAKBAK

Arzoo

Ishq Seekha Tha

Thursday, September 18, 2014



Jo Ho Ijazat Toh
Tum Se Ek Baat Puchoun
Jo Hum Se Ishq Seekha Tha
Woh Ab Kis Se Karte Ho

***********************
Thanks & Regards
Mrs Rubina Yasmeen
***********************

Arzoo

Zindagi insan Ki Ek Dumm Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

Monday, August 18, 2014


Zindagi Insan Ki Ek Dumm Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Dumm Hawa Ki Mouj Hai Rumm Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Gull Tabassum Keh Raha Tha Zindagani Ki Magar
Shamma Boli Girya-E-Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Raaz-E-Hasti Raaz Hai Jabtak Koi Mehram Naa Ho
Khull Gaya Jisdam Toh Mehram Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Zairaan-E-Kabaa Se Iqbal Ye Puche Koi
Kya Haram Ka Tohfa ZamZam Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.....

******************************
Thanks & Regards
Mrs Rubina Yasmeen
******************************

Arzoo

Aatish-E-Shouq

Sunday, August 17, 2014

 

Akhtar Khatri

Ghazal

Sunday, August 25, 2013


Moqa milay,to hum se kaho, dil ki baat!
dil hi main tum na rehnay do, dil ki baat
موقع ملے،تو ہم سے کہو، دل کی بات
دل ہی میں تم نہ رہنے دو، دل کی بات

gham'gusar kon hai tera iss dunya main
tum her aik say na kiya kro,dil ki baat!
غمگسار کون ہے تیرا اس دنیا میں ؟
تم ہر ایک سے نہ کیا کرو، دل کی بات

tumhen cha'htay rehna hi meri zindagi hai
hum nay to nikal hi di hai lo,dil ki baat!
تمہیں چاہتے رہنا ہی میری زندگی ہے إ
ہم نے تو نکال ہی دی ہے لو،دل کی بات

aik hi awaaz aaye gi meri dher'kano say!
tum tawajjo say to kabhi sunu,dil ki baat
ایک ہی آوازآئے گی میری دھڑکنوں سے
تم توجہ سے تو کبھی سنو،دل کی بات إ

jall jatay hain hmaray haasid,dosti say
kabhi bata na dena gher ko,dil ki baat!
جل جاتے ہیں ہمارے حاسد،دوستی سے إ
کبھی بتا نہ دینا غیر کو،دل کی بات إ

teri nazron say ma'loom hoti hai hamen
teray dil main chupi hai jo,dil ki baat!
تیری نظروں سے معلوم ہوتی ہے ہمیں
تیرے دل میں چھپی ہے جو،دل کی بات

maqsud,tera wo gham'gusar to rooth gya hai
kisi aur say krtay hain chalo,dil ki baat!
مقصود،تیرا وہ غمگسار تو روٹھ گیا ہے إ
کسی اور سے کرتے ہیں چلو،دل کی بات




WARM REGARDS,
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Collection Shayari

Khuab Gar by Fakhira Batool

Saturday, August 17, 2013

Contact Us

Name

Email *

Message *