us ne door rehnay ka mashwara bhi likha hai
sath hi muhabbat ka wasta bhi likha hai
us ne ye bhi likha hai mere ghar nahin ana
saaf saaf lafzon main rasta bhi likha hai
kuch haroof likhay hain zabt ki naseehat main
kuch haroof main us ne hosla bhi likha hai
shukria bhi likha hai dil se yad karnay ka
dil se dil ka hai kitna faasla bhi likha hai
kaya usay likhain ‘Mohsin’ kaya usay kahain ‘Mohsin’
jis ne kar ke be-jan phir jan-e-jaan bhi likha hai
Collecting Presented By :