Lafzon ka ek chamkta Mahal de Jaunga Tuesday, May 14, 2013 Lafzon ka ek chamkta Mahal de ke jaunga, Ehsash ka ek khilta kanwal de ke jaunga ! Tanhayeeyon me sath rahe tere Jo sada, Oh dosti ka jazba tujhe de ke jaunga ! Duniya bade fareb ki Bach ke niklna, Mai jazba-e-khulus tujhe de ke jaunga ! Khilne ki aarju aur mahakne ki justju, Tohfa e hasraton ka tujhe de ke jaunga ! Roshan rahe gulshaneejad Tere noor se, Tere labon ko aisi hansi de ke jaunga ! Jaunga bade sauk se kuchh der to thahar, Tasweer dil me teri eek Le ke jaunga ! Jana to kisi roj hai har saks ko yahan, Moti e aansuon ke tere Le ke jaunga ! Kuchh bhi to mere pas nahi pyar ke siwa, Shayar Hun eek haseen gazal de ke jaunga ! Collecting Presented By : Share This Story Share on Facebook Share on Twitter Pin this Post Tags: Ameer, Arzoo, Dard Shayari, Dreams, Gazal, Hasrat, Pyar, Smart Boy, Yaad Newer Post Older Post You Might Also Like 0 blogger-facebook
0 blogger-facebook