Mera khamosh rehkar
Friday, March 01, 2013
 mera khamosh rehkar bhi unhen sab kuch suna dena 
zabaan se kuch na kehna dekh kar aansu baha dena
zabaan se kuch na kehna dekh kar aansu baha dena
 nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra 
ki do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena
ki do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena
 ijaazat ho to keh duun qissa-e-ulfat sar-e-mehfil 
mujhe kuch to fasaana yaad hai kuch tum suna dena
mujhe kuch to fasaana yaad hai kuch tum suna dena
 main mujrim huun mujhe iqraar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pehle khata par ghaur kar lo phir saza dena
magar pehle khata par ghaur kar lo phir saza dena
 main is haalat mein pahuncha hasharwale pukaar uthe 
koi faryaad karne aa raha hai raasta dena
koi faryaad karne aa raha hai raasta dena
 


 
 
 

0 blogger-facebook