Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara,
Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara,
Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara,
Darwaza khula rakhna,
Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse,
Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse,
Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse,
Darwaza khula rakhna,
Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai,
Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai,
Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai,
Darwaza khula rakhna,
Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,
Darwaza khula rakhna,
Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna,
Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna,
Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna,
Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.
Ibn-e-Insha Poetry
Warm & Regards
iqbal sheikh
Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!
Koi Harf Aae Nahin Nahin
Mujhe Khauf-e-Duniya Nahin
Tera Wasl Ae Meri Dilruba
Nahin Meri Khismat To Kya Huwa
Meri Mahjabeen Yehi Kam Hai Kya
Teri Hasraton Ka To Saath Hai......
Kabhi Poori To Kabhi Adhuri Reh Jaati Hai
Dua Ki Talib
Mrs. Rubina Yasmeen
Our Lord !! Accept From Us;
Surely U Are The Hearing, The Knowing.
Aaye Allah !!
Humse Ye Qidmat Qabool Farma,
Beshakk Tu Sunne Wala Hai Janne Wala Hai....
Zammi se fallaq tak hei charche tere,
Sabhi ki zabaan par hei, charche tere,
teri sadgi or bhoolle nayaan
Yahi to lubhate hei, dil ko mere,
Tere ishq main, main diwanaa huwaa,
tere dil main bhi he, kyaa ye diwana pan,
Teri zulf rukhsaar qatil bani,
nahi he sanam ye to nagin se kam,
Chalti jab tu moorni ki tarhaan,
Naa ban-jayei ham, moor tere sanam,
Tery jism ki Khushboo, sansoon main hain,
banaa lein kyun jan tujh ko sanam,
Rahe saath teraa ye jan-moon janaam,
Duwaa mangte, ab to rab se ye ham,
jo moot aaye to teri banhoon main hoon,
duwaa abb to har pal ye karte hein hum,
tere naa hone se jan bhi be-dam-si he
tarap rahaa he dil deed ko teri ajaa
hasrate deedar mei aankh bhi ye nam-si he
bujha-bujhaa saa dil, bujhi hasratei hei
tere naa hone se ye raat bhi maddham si he
khuli hain zulff, machaltaa he pagal dil bhi
dekh mujh ko tanhaan chandni bhi nam-si he
ye aankh rooyi, mery sath shabnam bhi roi he
gulaboon ki bhi aaj aankh kuch nam si he
Written By :
hameeda ameer !