as salaam o ale kum
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
kat kaar tune kun, mujhe alag kar daalee
naye baag mein bhir mujhe lagaya gayaa
phir se sincha phir, ugaayaa gayaa
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
phool phir mere bhi chaman mein khile
gul, gulshan, gulfaam banaayaa gayaa
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
shaakh meri bhi phir yun. kaatee gayi
naye baag mein phir se use lagaaya gayaa
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
kesi kismaat he kesee maj booree
mujhe maalee se door layaa gayaa
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
reet duniyaan ki ye puraani hein
nasaal age bhi jo chalaani hein
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
phool khil te hei kahin, or kahi sajayagaya
ye hi duniyaan hei, yun hi ham bhi milte hei
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
betiyaan pholoon jesi hei sabhi ki sunlo
apne babul se, door prdeas lejayaa gayaa
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
(bibbo) aaj roo rahi he yaad mei unki tanha
jin ko aaj tak dil se na phulayaa gayaa
tere baggon ki thee mein ek nazuk dalee
apna kayaal rakhna
ALLAH HAFIZ
written by
Hameeda Bibbo Ameer