Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho
Sakoon tabaah nah ho, zindagi gunaah nah ho
Kutch aetedaal bhi laazim hai dill lagi key liey
Kissi sey pyaar agar ho to bepanaah nah ho
Iss ehtyaat sey mai terey saath chalta hon
Teri nigaah sey aagey meri nigaah nah ho
Mera wajood hai sachaaion ka aaina
Yeh aour baat keh mera koi gawaah nah ho
Presented By:
Syed Saif
as slam oalekum
tujh ko maanga he tadhap kaar raab se
tu nahi jaan taa, kitni tujhe, chahaat ki he
jism mera he, meri rooh ban ke tu rehta he
meri saansoon se bhi tune to bgawaat ki he
maanle tu bhi sanam, jaanle chahat meri
saari duniyaa se alaag (bibbo) ne to ulfat ki he
sari duniyaa se churaayaa he tujh mene sanaam
sari dunia se mere dil ne, bgaawaat ki he
har taraaf teraa hi jalwaa he jahaan bhi dekhun
khud se bhi zyaada mere dil ne mohabbat ki he
meri raag - raag mei smayaa he lahu ban ke tu
kesi duniyaa se alag , mene ye chahat ki he
meri har sans mei bastaa he, khoboo bankar
ek enshaa ko ( bibbo ) kesi tune mohabbat ki he
apna khyal rakhna
ALLAH HAFIZ
written by :
Hameeda bibbo ameer
Kya Ho Tum?
Chlo main bataoo!
mere liye meri dunia ho tum
chu ker jo guzri wo hawa ho tum
maine jo mangi wo dua ho tum
kare mujhe roshan wo diya ho tum
Dil ye kahey mera jiya ho tum
kiya main ne mahsoos woh ehsaas ho tum
meri Nazer ki talash ho tum
meri Zameen or akaash ho tum
maine jo chaha wohi khwab ho tum
As Slaam O Alekum
Ab Na Teraa Saath He, Or Na Tu Mere Paas He
Dil Tadhaptaa He Mera, Raat Roi Sath He
Aaja - Sajan Loat Ke Tu Sun Le Ye Faryaad He
Chandni Tu Aa Banade, Kitni Kali Raat He
Aa Khizaa Mei Gual Khilaa De Mere Sajan Aa Bhi Jaa
Ajaa - Ajaa Ab To Ajaa, Ankhiyaa Ye Barsaat He
Tere Bin Ye Chandni Bhi, Kun Andheri Raat He
Ajaa Sajan Mere Balam, Keh Rahi Har Saans He
Aake Mujh Ko Tu Hansaa De Hansi To Tere Sath He
( Bibbo )Tu Kyun Faryaad Karty Hai, Wo To Pattar Zaat He
Apna Khyal Rakhna
Allah Hafiz
Written By :
Hameeda Bibbo Ameer
Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.
Us k Chehry Per is Qadar Noor Tha
K Us ki Yaad Mein Rona bhi Manzoor Tha
Bewafa B Nahi keh Sakty us ko Faraz
Pyar to ham ne Kia Hai Woh to Bekasoor Tha.
Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi,
aapke har gham ne bhi sukoon diya,
hum zinda hai toh yeh jaankar k pyaar se na sahi par,
aapne hume yaad toh kiya
Hum zindagi se aas kare bhi to kya kare,
Jab tum nahi ho paas, kare bhi to kya kare.
Aansu piye, sharaab piye, zeher bhi to pi liya,
Bujhti nahi hai pyaas, kare bhi to kya kare
Presented By:
Syed Saif
Rooh Ka katl huva sare aam phir bhi kuch nahi bola
Zindagi ayse hi guzargayi hum no uf tak nahi kiya
Jaan hum se chin gayi phir bhi hum ne kuch nahi kaha
Hum ne unhen bahut manane ki koshish ki phir bhi nahi manaya
Kya khata thi ke hum se moh modhliya,kar ke wade sare, phir bhi chup rahe
Kis wajah se hum se peecha chudaliya.
na kabhi umeed thi aap se phir bhi sehliya.
Bewafai kee aap ne par ilzaam mujh per dala phir bhi khamosh rahe
Aaj bahut din baat tum kyun nazar aye, phir bhi dekhliya
Bewafai karna tha to saamne kyun aaye, dil ko phir aaj chot huvi
Kahen to kya kahen aap se ,aaj kuch nahi keh ne ko phir bhi sehliya
Dard o gham ka sila aise hi chalta gaya, phir bhi chup rahe
Aap ki shaadi ho gayi .apne dil ko phir bhi samjhaliya.
Zakhmo ko phir se koi tazaa kar gaya phir bhi chup rahe
Na jaane kab aazad honge hum un ke dukh se yaarana ab saha nahi jaata
Khuda kare kabhi na ho kisi ko mohabbath yaara
Dukh ke ilava kuch nahi milta , tanhai hi tanhai reh jaati he
Tanhai tanhai,
tanha tanha zindagi bhar rehjayenge
Allah Hafiz
Ayesha
ayesh_white_india@yahoo.co.in