Dekhte Dekhte Kya Se Kya Hogaya
Bulbula Khud Bana Khud Fanaa Hogaya
Kya Karegi Maseeha Ki Charagiri
Dard Badhkar Mera Khud Dawaa Hogaya
Kashti-E-Dil Kinare Naa Lag Payegi
Meri Kashti Ka Woh Naakhuda Hogaya
Meri Mayyat Pe Rone Ko Aaye Hain Who
Kitna Dilchasp Ye Saanha Hogaya
Jaane Kounsi Baat Usski Mujhe Aayi Pasand
Unnse Milne Ka Jo Yeh Silsila Hogaya
Thanks Best Regards
Mrs Rubina Yasmeen
Kisi Bhi Shaqs Ka Mein Dil Dukhane Se Darti Hoon
Dagha Khati Hoon Khud Laikin Daga Dene Se Darti Hoon
Mein Munsif Hoon Zamane Ki Roosh Ko Dekh Kar Laikin
Jo Mujrim Hain Unhe Bhi Saza Dene Se Darti Hoon
Gadagar Ka Takaburr Dekh Kar Mein Dour-E-Hazir Me
Fakhiroun Ko Bhi Kuch Rah-E-Khuda Dene Se Darti Hoon
Jo Apne Mohsinoun Ki Qaderdani Se Hain Naa Waqif
Mein Uss Kamzarf Insaan Ko Dua Dene Se Bhi Darti Hoon
Jo Shar Angeez Hain Mujhko Woh Yun Buzzdil Samajhte hain
Ke Mein Nafrat Ke Sholoun Ko Hawa Dene Se Darti Hoon
Rahe Hain Muddatoun Aaludah Jo Khud Khoon-E-Insaan Se
Unhi Hathoun Ko Mein Hath Milane Se Darti Hoon
Aandhiyoun Ki Nagri Me Aaftab Apni Tajjali Se
Shikasta Aaiyanoun Ko Bhi Jala
Dene Se Darti Hoon
Thanks Best Regards