Ek Chota Sa Sapna Tha
Uss Sapne Me Koi Apna Tha
Uss Apne Me Kuch Sukoon Tha
Jo Zindagi Ka Junoon Tha
Uss Junoon Me Ek Rahat Thi
Jo Sirf Teri Chahat Thi
Uss Chahat Me Ek Anadaz Tha
Jo Meri Dhadakoun Ka Raaz Tha
Uss Raaz Me Ek Khushboo Thi
Jo Meri Sonch Ki Justajoo Thi
Uss Justajoo Me Ek Hararat Thi
Jo Meri Khushiyoun Ki Shararat Thi
Uss Shararat Me Ek Ehsaas Tha
Ke Tu Jo Mere Paas Tha
Uss Paas Me Jo Armaan Tha
Woh Bass Sirf Tera Naam Tha......
Thanks Best Regards
Mrs Rubina Yasmeen
Milakar Khadam Se Khadam Chandni Me
Chalo Taj Dekhen Sanam Chandni Me
Teri Yaad Aayi Bahut Chandni Ko
Chalakti Hai Sanam Ankhen Chandni Me
Ye Taron Bhari Raat Hai Chandni Hai
Zara Bhol Zulm-O-Sitam Chandni Me
Tarasti Hai Ankhen Tujhe Dekhne Ko
Dekha De To Surat Sanam Chandni Me
Nahi Dekha Mai Ne Haseen Koi Tujh Sa
Jo Chahe To Le Le Khasam Chandni Me
Badhni Hai Kasie Muhabbat Ki Azmath
Zara Sekh Le To Sanam Chandni Me
Inteekhab-E-Asrar
Mohabbat Jab Sumar Karna Tu Sazzish Bhi Sumar Karna
Ju Mery Hisay Main Aii Hai Wo Aziyat Bhi Sumar Karna
Jalaye Rakhon Gi Subha Tak Main Tumharey Rasto Main Apni Ankhey
Magar Kahen Zabat Tooth Jaye Tu Barish Bhi Sumar Karna
Ju Hurf Lohey Wafa Pay Likhey Hoye Hai In Ko Bhi Dekh Lina
Ju Raiegha Hogi Wo Sari Aibaretey Bhi Sumar Karna
Ye Sardiyo Ka Udas Musam Ki Dharkaney Barf Hogi Hai
Jab In Ki Yekh Bastagi Parakna , Tamazatey Bhi Sumar Karna
Tum Apni Majburiyo K Kissay Zaroor Likhna Wazahato Say
Ju Meri Ankho Main Jal Bujhhi Hai Wo Khawishay Bhi Sumar Karna
Collecting & Presented By :
Mom Ki Tarha Pighhalte Hue Dekha Us Ko,
Rut Jo Badli To Badalte Hue Dekha Us Ko,
Wo Jo Kaanton Ko Bhi Narmi Se Choota Tha,
Hum Ne Phoolon Ko Masalte Hue Dekha Us Ko,
Jaane Kis Gham Ko Chhupaane Ki Tamanna Hai Usse,
Aaj Har Baat Pe Hanste Hue Dekha Us Ko,
Jaane Wo Maangne Jaata Hai Duaon Mein Kise,
Haath Uthate Hi Sisakte Hue Dekha Us Ko.