Hui hain mohtaaj khuwaahishein kaisi
Barsi hain hasraton ki baarishein kaisi
Andheron ke ho kar reh gaye hain hum
Waqt nay kee hain saazishein kaisi
Palko pe khwaabon ki inayatein kaisi
Ab kay hain dard se rafaqatein kaisi
Bas mein nahi gar taqdeer badalna
Phir shikayatein kia adaawatein kaisi
Woh judaa reh kar khush hai agar-che
To laut aanay ki khushaamadein kaisi
Barasti thein ankho se chaahatein kaisi
Ab ke thein lehje mein banawatein kaisi
Thami hai zindugee ek hi dehleez par
Bicherr jaayen raahi to musafatein kaisi....!!!!
Collecting Presented By :
dil ko Gam-e-hayaat gavaaraa hai in dino
pahale jo dard thaa vahii chaaraa hai in dino
ye dil zaraa saa dil terii yaado me kho gayaa
zarre ko aadhiyo kaa sahaaraa hai in dino
har sail-e-ashk saahil-e-taskii hai aaj kal
dariyaa kii mauj-mauj kinaaraa hai in dino
shamo me ab nahii hai vo pahale sii roshanii
shaayad vo chaad anjuman_aaraa hai in dino
tum aa sako to shab ko ba.Dhaa duu kuchh aur bhii
apane kahe me subah kaa taaraa hai in dino
qurbaa ho jis ke husn pe sau jannate 'Qateel'
nazaro ke saamane vo nazaaraa hai in dino
Raju Deen Pataudi
raju2cool@yahoo.com
Ab zid pe aa gaye ho to yeh kaam bhi kar lo,
Khud ko Humare naam se badnaam bhi kar lo,
Yeh kyun in ruton mein bhi qaid-e-ana ki zid,
Barpa bahaar mein koi kohraam bhi kar lo,
Mehboob ho gar to sabr ke zindaan ko tod do,
Ahl-e-jahan ki saazishen nakaam bhi kar lo,
Tark-e-tal’luq ka maatam bohat hua,
Tum thak gaye ho aao kuch aaram bhi kar lo… .
Collecting Presented By :