Milne pe tere hum ko shikayat nahi rahi
haan tujh me baqi murawat nahi rahi
daor e tanzuli hai ki is daor mein miyan
sach bat bolne ki bhi himmat nahi rahi
daore nishaat mein the ahbaab hum rikab
daor e khizaa mein koi jamat nahi rahi
tere karam per ashk jo nikle hai zar zar
lutf o karam ki ab mujhe adat nahi rahi
sach ko kia hai qatal, kuch kam nahi hai ye
jhotoo se ab hume bhi adawat nahi rahi
aate the jis ke dam per mahfil mein hum Nafees
wo lutf na raha wo inayat nahi rahi
Written by :
Nafees Ahmed Khan Nafees
(tanzuli: girawat,Nishat: khushi, humrikab:sath sath,Khizaa:patjhad,jamat:giroh,ashk:ansoo,zar zar:zor zor se, luft o karam : mehrbani, adwat: dushmani)
*Hum Apni Wafaon Ka Sila Kisse Maangte,
Hum Ba-Wafa The Lekin Wafa Kisse Maangte,
Khud Hi To Ki Thi Humne Apne Rab Se Bagawat,
Phir Hum Jo Dua Mangte To Kisse Maangte,
Jo The Dhadkan Dil Ke Wo Bhi Dushman-E-Jaan The,
Is Dil Ki Dua Mangte To Kisse Maangte,
Mehboob Jo Tha Wo Bhi To Naraz Tha Humse,
Koi Shokh Ada Mangte To Kisse Maangte,
Jo WaQt Guzar Jaaye To Wapas Nahi Aata,
Wo WaQt Gaya Maangte To Kisse Maangte,
Hum Uski Justajoo Mein Hue Khud Se Begane,
Hum Ghar Ka Pata Maangte To Kisse Maangte...
Collecting Presented By :