Halaal Sab Kamaiyan Hawa Uda Ke Le Gayi
Wo Barkaton Ki Rotiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Hai Gunch Gunch Ghamzdah Kali Kali Udas Hai
Chaman Ki Jab Se Titliyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Kahan Hain Galib Aur Meer Ki Sukhan Taraziyaan
Ghazal Ki Wo Bulandiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Bhare Shabaab Me Bhi Hain Ye ladkiyan Qamosh Kio
Wo Naaz Aur Shukhiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Hai Gulistan-e-Dahar Me Wafa Ka Ab Chalan Kahan
Wafa Ke Phool Pattiyaan Hawa Uda Le Gayi
Guroor Kar Raha Tha Jin Ke Bal Pe Bepanah Tu
Wo Teri Saari Shaktiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Bhatak Rahe Hain Nafraton Ki Wadion Me Danish Aaj
Khuloos Wali Bastiyaan Hawa Uda Ke Le Gayi
Written by :
Asrar Ahmed Danish
Riyadh, Saudi Arabia
Ya Khuda Koi Aisa Karam Kar De
Zarre Ko Tu Shikhar Kar De
Bhar De Daman Khushiyo Se
Mere Mehboob Ka
Badle Me Mujhe "Gumo Ka Sagar" Kar De
Ya Khuda Koi Aisa Karam Kar De
Zarre Ko Tu Shikhar Kar De
Bhar De Daman Khushiyo Se
Mere Mehboob Ka
Badle Me Mujhe "Gumo Ka Sagar" Kar De
Ya Khuda Koi Aisa Karam Kar De
Zarre Ko Tu Shikhar Kar De
Bhar De Daman Khushiyo Se
Mere Mehboob Ka
Badle Me Mujhe "Gumo Ka Sagar" Kar De