Teri chahton mein hai apna pan,
Muje dil se kahin ye rula na de.
Main shajar hon jazba-e-ishq ka,
Tujhe ishq mera sata na de.
Tu jahan bi hoga yaad rakh,
Meri har ada tere sang hai.
Muje apni kuch bi khabr nahi,
Dar ye hai tu bhula na de.
Muje pas rakh mujhe tham le,
Mujhe chodne ki saza na de!!
Collecting Presented By :
aa gayii yaad sham Dhalte hii
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii
khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii
(shahr-e-Gham : city of sufferings)
kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii
tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii
(aks-e-diivaar : reflection of the wall)
Collecting Presented By :
Dil ki Taak pe Diya Jalany Aaongi,
Mai Tumko kuch Yaad Dilany Aaongi,
Mere Dard ko Tum bhi na Seh Paogey,
Apne Aansu’n se Tumhen Rulany Aaon gi,
Shoq Boht Tha Jin Galiyon Mein Basnay Ka,
Wahen Pe ek Din Khaak Urany Aaon gi,
Jeetny Dongi Tumhen Har Bazi Aur Phir,
Apni Haar Ka Jashan Manany Aaongi.
Collecting Presented By :
Baat Karna Aasan Hai Fanaa Hone Ki,
Wafaa Ki SaaNs Bharnewale !
Marne Se Pehle Marr Ke Dekh Meri Tarah.
Baat NahiN Samandar Ki Samajhle,
Dono JahaN Ki Baat Hai,
Iss JahaN MeiN Jee Ke Dekh Meri Tarah.
Saari Zindagi Likh Denge
Sirf Tere Naam,
Ilteja Ikk Baar Karke Dekh Meri Tarah.
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****