ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar
ek lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.N
mai.n tere saamane ambaar lagaa duu.N lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
yaa vo pattharaa
ii hu_ii aa.Nkh kaa niilaa patthar
jis me.n sadiyon ke tahayyur ke pa.De ho.n Dore
kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai
ik vo patthar hai jise kahate hai.n tahaziib-e-safed
us ke mar_mar me.n siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath me.n teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
jitane mayaar hai.n is daur ke sab patthar hai.n
sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahan-e-rasaa bhii patthar
is zamaane me.n har fan kaa nishaa.N patthar hai
haath patthar hai.n tere merii zubaa.N patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
tham gaye hain jaise yahan pe
wo lamhe kabhi nahin guzrenge
dil mein jab dhadkan bhi na rahegi
wo lamhe hum phir bhi jiya karenge
jis pal tune mujhe aagosh mein bhara
yun mujhe apne haathon mein sawaanra
haath mein jab jumbish bhi na hogi
wo lamhe hum phir bhi jiya karenge
wo pal ke jahan tere honth mile the mujhse
yun nayi zindagi shuru ki thi maine
jab ragon mein lahoo behna band kar dega
wo lamhe hum phir bhi jiya karenge
jab tujhme samaa gaya tha main us raat
phir kee humne raat bhar khamoshi se baat
saans bhi jab meri ruk chuki hogi
wo lamhe hum phir bhi jiya karenge
tera tasavuur jab pehli baar paaya dil mein
sansani sa ehsaas daud gaya tha mann mein
koi sargoshi bhi jab na hogi is badan mein
wo lamhe hum phir bhi jiya karenge
teri khatti meethi takraar jab jab hoti thi
teri ehmiyat ka mere wajood ko ehsaas deti thi
jab kaafila mujhe dafan karke chala jaayega
wo lamhe hum phir bhi jiya karenge
tera wo mujhpe har lamha haque aazmaana
mujhe apne saaye ki tarah qaid mein rakhna
meri yaad bhi jab duniya se rawaana ho jaayegi
wo lamhe hum phir bhi jiya karenge
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
Kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho
Mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai
Zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho
Sar-e-shaam Thehri hai zamin, aasman hai jhuka hua
Isi morr par mere vaaste vo chiragh le kar kharra na ho
Vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein
Jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho
Vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
Vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho
Mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
Inhi zard patton ki OOT mein koi phool soyaa huaa na ho
Isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa
Vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
agar mein tumhari aankhun mein kho jaun to
mujhe dil ki dharkanun mein dhoonduna tumhain milun gi
dil se nikaal ker bahir jo tum dekho gay to
sehra mein samundarun mein dhoondna tumhain milun gi
gar na mil saka tumhain kisi sehra mein
kisi wairane paharun mein dhoondna tumhain milun gi
wairaan paharun k daman mein naa pao mujhe to
in k haseen nazaarun mein dhoondna tumhain milun gi
dhoondte dhoondte agar hazaan aa jay kabhi
hazaan baadh baharun mein dhoondna tumhain milun gi
her jagah dhoondne k baadh mujhe aakhir
tamaam khaak saarun mein dhoondna tumhain milun gi,,,
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
1 Din Chidiya Boli: Mujhe Chor Kar Kabhi Tum Urr To Nahi Jaaoge?
Chida: Urr Jaaon To Tum Pakar Lena, …
Chidiya: Main Tumhe Pakar Sakti Hoon, Par Phir Pa Nahi Sakti,
Chida Ki Aankh0n Mein Aansu Aa Gaye Ussne Apne Pankh Torr Liye,
Aur Bola: Ab Hum Hamesha Saath Rahenge.
1 Din Bohut Zor Se Toofaan Aaya Chidiya Urrne Lagi,
Tabhi Chida Bola: Tum Urr Jaao Main Nahi Urr Sakta
Chidiya: Apna Khayal Rakhna Keh Kar Urr Gayi,
Jab Toofaan Thama Aur Chidiya Wapis Aayi To Ussne Dekha K,
Chida Mar Chuka Tha Aur 1 Daali Par Likha Tha,
Kaash TUM Aik Baar To Kehti K, Main Tumhe Nahi Chor Sakti,
To Shayad Main Toofaan Aane Se Pehle Nahi Marta :'
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
kabhi kuch gungunaoon to mujhy tum yad atay ho
kabhi jo muskuraon to mujhy tum yad atay ho
khulli ankhon main tari yad ke hi deep jaltay hain
agar palken jhukaon to mujhy tum yad atay ho
kabhi baton hi baton mai wafa ka zikar aa jaye
mai sochon mai khoo jaon to mujhy tum yad atay ho
kissi ki ankh sy ansoo lahoo ban k tapaktay hon
agar daman churraon to mujhy tum yad atay ho
kabhi ujray hue shehre muhabbat mai ujaalay ko
diya koi jalaon to mujhy tum yad atay ho
tumhen dil sy bhulanay ko mai khud ko bhool jata hon
mai khud ko bhool jaon to mujhy tum yad atay ho
meri har ik khushi mansoob tum sy hai magar Dani
koi bhi zakham paon to mujhy tum yad atay ho
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****