Collection Shayari

Missing You.... My Love ....!!

Thursday, July 04, 2013

Collection Shayari

Tere Mere Zazbaat

Thursday, July 04, 2013

Collection Shayari

Sirf yado ke sahare jeena aasaan nahi

Thursday, July 04, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Jab kabhi main yaad aaoo tum apni Ankhe jhuka lena,
jab kabhi dil mujhe milne ko chahe apni Ankhe jhuka lena.
hum to hamesha tumhare hi khayaalo me rahete hai,
aur jab tumhe mera khayaal aaye to apni Ankhe jhuka lena,
yeh sach hai jisse bhi hum cahte hai bhula nahi sakte,
per jab bhi tum mujhe bhulana chahoo apni Ankhe jhuka lena,
log kahete hai jab hum kisi ko yaad karte hai to Ankhe num hojati hai,
jab tum kisi ko yaad karo to apni Ankhe jhuka lena,
intezaar karna to humari aadat hogaye hai aur yaad karna humari kamzoori,
lekin jab tum kisi ko kamzoor paao to apni Ankhe jhuka lena,
chehre ko pardhna to achhi baat hi hai,
par jab tum chehra kisi ka naa pardh paao to apni Ankhe jhuka lena,
sirf yaadon ke sahare jeena aasaan nahi,
jab tum kisi ko sahara do to apni Ankhe jhuka lena,
muzammilko itni to umeed hai ke tum zaroor aaogi meri maut par,
jab sab roo rahe ho to apni ANKHE JHUKA LENA

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS
Aditi Jindal

Collection Shayari

Vo janta nahi

Thursday, July 04, 2013

Collection Shayari

Thursday, July 04, 2013

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgsFnD05xKN4Tg7OXrypTc2bHyLP0Vk54Is8rdfPZIoKX5JI41lY-o0i_gxzwB3kMqN8RdzAlw3sW7JrbhbQDXvlFLghkC6Iay0IUDYxACvBmseHS32Hbl8XrKteiUu9yYUjPbr224AHQg/s1600/instyle11.jpg

Amawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai,
Jab dard ki pyaali raaton mein gam ansoon ke sang hote hain,
Jab pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain,
Jab ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain,
Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain,
Jab unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Jab pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain,
Jab gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain.
Jab baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai,
Jab suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai,
Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai,
Jab college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai,
Jab beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai,
Jab lakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai,
Jab apna har manchaha kaam koi lachari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Jab kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai,
Jab darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai,
Jab badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo,
Kya likhte ho dinbhar, kuchh sapnon ka bhi samman karo,
Jab baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain,
Jab baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain,
Jab saari pahne ek ladki ka ek photo laya jaata hai,
Jab bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai,
Jab saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin,
Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin,
Woh pagli ladki nau din mere liye bhooki rahti hai,
Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai,
Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon,
Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon,
Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba,
Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba,
Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bhin marna bhi bhari lagta hai.

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Dr. Kumar Vishwas
Aditi Jindal

Collection Shayari

Ye kon he jo mujhe dil jigar btata he

Thursday, July 04, 2013

Collection Shayari

Usko dil apna deke

Wednesday, July 03, 2013

Collection Shayari

Tu ghar se chala tha ek roz

Wednesday, July 03, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Teri budhi maa darwaze pe nigah basaye baithi hai,
Ke uska beta laut ayega uske paas,
Tera baap tooti parri kursi pe lachar lash ban parra hai,
Ke uske beta uska sahara ban’ne ke liye laut ayega,
Dono ke dil ki dhadkane bas yehi guzarish karti hai tujse,
Ae musafir laut aa
Tu ghar se chala tha ek roz kehke ke laut aunga ek dinn,
Aj toh tu khat bhijwana tak bhool gaya hai,
Kabhi tujhe maa ke peron main jannat dikhayi deti thi,
Aj toh tu maa ka haal puchna tak zaruri nahin samajta,
Maa ke behte ashk cheek cheek kar kehte hai tujse,
Ae musafir laut aa…
Baap ki zindagi main kamaye hue paison se tu bahar gaya tha,

Aj toh tu do paise ghar bhijwane se katrata hai,
Kabhi tujhe baap ki dant main zindagi ka sabak dikta tha,
Aj toh tu baap ki awaz sun’na tak gawara nahin samajta,
Ek mazhoor budhe baap ka dil tadap kar kehta hai tujse,
Ae musafir laut aa…
Aj ek sandesh dena chahta hoon,
Zulm karte bachon ki ankhein kholna chahta hoon,
Bano insaan aur do mohobat maa-baap ko,
Bano unka sahara jinhone tumhe chalna seekhaya tha,
Haath jorr kar guzarish karta hai sabhi se ‘Khamosh’,
Kehta hoon bas yehi,
Ke ae musafiron laut ao

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS
Aditi Jindal

Collection Shayari

Suna hai ishq me tez ho jati hai dil ki dhadkane

Wednesday, July 03, 2013

Collection Shayari

Aisa Filmo Mein Hota hai

Wednesday, July 03, 2013

Collection Shayari

Purani yaad se niklo

Wednesday, July 03, 2013

Collection Shayari

Zindagi Main Hai Dhoka is ke Siwa Kuch Nahi

Tuesday, July 02, 2013

Collection Shayari

Hey Tamana, na havaon

Tuesday, July 02, 2013

Contact Us

Name

Email *

Message *