Mein Diya Hoon Toote Mazaar Ka
Sar Shaam Kisne Jala Diya
Teri Berukhi ki Adaoon Ne
Mujhe Zarra Zarra Bana Diya
Nai Manzilon Par Puhanch Kar Bhi
Yahi Sochta Hoon Ke kis Tarah
Kin Rastoon Pe Mile The Ham
Kin Raston Ne Juda Kiya
Ye To Apna Apna Naseeb Hai
Koi Mil Sake, Ya Na Mil Sake
Na Ho Gham Zada Dil Meharbaan
Phir Kya Huwa Jo Bhula Diya
Mere Hum Safar Zara Soch Ley
Tere Rastoon Ka Khalus Honn
Tere Samne Jo Bicha Diya
Rahey Umar Bhar Jisey Dhoondte
Wo Mila To Usse Ganwa Diya
Mere Hasraton Ke Mazaar Par
Mera Us Se Aik Sawaal Hai
Usse Rok Kar Ye Poochoon Mein
Yahan Kisne Kisko Bhula Diya
Collecting Presented By :
Zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahin, ......
Teray daaman mein mere waaste kya kuch bhi nahin...
Mere in haathon ki chaho tou talashi ley lo,........
Mere in haathon mein lakiron kay siva kuch bhi nahin...
Humne dekha hai kayi aise khudaon ko yahan,......
Saamne jinke woh sach-much ka khuda kuch bhi nahin...
Ya khuda! ab ke yeh kis rang mein aayi hai bahaar, ........
Zard hi zard hain pedon pay, hara kuch bhi nahin...
Dil bhi ik zid pay ada hai kisi bacche ki tarah, ..........
Ya to sab kuch hi isay chahiye ya kuch bhi nahin..!
Collecting Presented By :
patthar ko bhi dete hain zamane mein jilaa ham
duniya ki nigahon mein hain aeenaa numaa ham
har shai mein numayan hai tira jalva khudaya
karte hain shab-o-roz tiri humd-o-sana ham
ik tu hi zamane ki har ik shai pe hai qadir
kaise na kahen tujhko yahan apna khudaa ham
maula! hamein jo kuch bhi yahan tune diya hai
mitne na kabhi denge ye ehsaan tiraa ham
maan! teri mohabbat ka koi mol nahin hai
kar hi nahin sakte hain tira qarz adaa ham
manzil unhein har gaam pe deti hai sadaen
bikhri hui taqat ko jo karte hain faraaham
hathon mein hai qatil ke ab insaaf-e-adalat
nakarda gunahon ki hi pate hain sazaa ham
mana ki khuda uska nigehbaan hai 'sahil
har doopti kashti ko magar denge sadaa ham
Collecting Presented By :