Ajnabiat Ka Taalluq Khub Hey
Hum Tumharey, Tum Hamaarey Anjabi
Jaan Ke Dushman Hamarey Aashna
Aur Aashna Saarey Ke Saarey Ajnabi
Zindagi Ki Talkhiyan Hein Hamnashin
Phool, Khushbu, Rang Saarey Ajnabi
Wo Jissey Hum Ne Naseer Pehchaan Di
Aaj Wo Hum Ko Pukaarey Ajnabi....
Collected By :
Shahnaaz
Yeh Talluq Bhi Khoob Raha Kuch Din
Tu Mere Naam Se Mansoob Raha Hai Kuch Din
Aankh Reh Reh Ke Teri Rahh Takaa Karti Thi
Dil Teri Yaad Se Maghloob Raha Hai Kuch Din
Teri Tasbee Bana Kar Tujhe Socha Karna
Mashghala Mera Ye Maghloob Raha Hai Kuch Din
Shayed Iss Baat Ka Matlab Mein Samajh Naa Paaoun
Kyun Mera Dil Tujhe Matloob Raha Hai Kuch Din
Baarish-E-Sang Se Pehle Zara Yeh Soch Toh Lo
Tera Mohseen Tera Mehboob Raha Hai Kuch Din
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu
Woh Soye Ittefaaq Aamile The Humse
Hum Nadaan Samjhe Humari Duaoun Me Asar Hai
Woh Soye Ittefaaq Aamile The Humse
Hum Nadaan Samjhe Humari Duaoun Me Asar Hai