Fursat ke in lamhon mein kuch to karne do
Jo bhi ho gayi khata use durust karne do
Mujhe maloom hai toot jaate hai jo rishtein
Unhe jud ne mein kuch waqt to lagta hai
Bikhare motiyon ko pirone mein thoda waqt lagta hi hai
Dukh to hota hai jab bewaqt aate hai aise khayal
Waqt saath deta nahi aur dub jaate hai zazbaat
kal main saza na doo khud ko na hi zakhmon ko silne doo
Abhi to main fursat mein hoo do ghoonth peene to do
Fursat ke In lamhon mein kuch to karne do...
Collected By :
Meher
Main Thik Hu Uske Bina
Kabhi-kabhi Udass Ho Jaata Hu,
Dil Ka Dard Jab Bardasht Ke Bahar Ho Jaata Hai
Tab Aankhon Me "Sagar" Utar Aata Hai
Keh Do Usse
Main Thik Hu Uske Bina......
Yaad Tujhko Hi Din Raat Karne Laga
Thandi Aanhen Subha Shaam Bharne Laga
Main Diwana Shab-e-Wasl Ka Jaan-e-Man
Tumjhko Banhon May Bharne Ko Marne Laga
Bekali Ji Ki Kuch Kam Ho Is Ke Liye
Teri Baaten Diwaaron Se Karne Laga
Yaad Teri Satane Lagi Hai Mujhe
Uthke Raaton Ko Chupke Se Roone Laga
Gham Tera Ghere Rahne Laga Hai Mujhe
Sine May Dard Phir Se Satane Laga
Teri Banhon Ka Sukh Chaen O Jaan-e-man
Paa Ke Jine Ko Main Hosh Khone Laga
Mil Ke Uljhale Tu Gesoaon May Mujhe
Ab Judai Se Teri Main Darne Laga
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]
Ek Tere Milne Ki Cahat May Jiya Karta Hoon
Dard-e-Dil Ghont Ghont Karke Piya Karta Hoon
Apni Tanhaiyon May Yaad Tujhe Kar Kar Ke
Dil Ke Badhte Huwe Zakhmon Ko Siya Karta Hoon
Bin Tere Koi Bhi Shae Mujhko Lubhati Hi Nahi
Apni Viraan Si Duniyan May Jiya Karta Hoon
Ranj-o-Rahat Ka Mujhe Koi Bhi Ehsaas Nahi
Hosh May Aate Hi Mae-khana Piya Karta Hoon
Ae Meri Jaan Tere Waaste Hi Mar Mar Ke
Din Ko Mahine Aur Saal Kiya Karta Hoon
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Khel Ye Kya Hogaya Hans Na Sakay Ro Na Sakay
Aarzoen Dil Ki Bar Lamhe Ko Bhi Ho Na Sakay
Shikwa Kis Se Kya Karen Taqdeer Ki Hi Baat Hai
Ghaer To Hain Ghaer Apne Bhi Mere Ho Na Sakay
Unko Paanay Ka Hi Ek Armaan Bas Dil May Liye
Karwaten Badla Kiye Ham Chaen Se So Na Sakay
Kat Gai Ye Zindagani Aas Aur Ummeed May
Jism Se Unke Lipat Kar Zulfon May Kho Na Sakay
Written By :
Syed Iqtedar Hussain