Mom Ki Tarha Pighhalte Hue Dekha Us Ko,
Rut Jo Badli To Badalte Hue Dekha Us Ko,
Wo Jo Kaanton Ko Bhi Narmi Se Choota Tha,
Hum Ne Phoolon Ko Masalte Hue Dekha Us Ko,
Jaane Kis Gham Ko Chhupaane Ki Tamanna Hai Usse,
Aaj Har Baat Pe Hanste Hue Dekha Us Ko,
Jaane Wo Maangne Jaata Hai Duaon Mein Kise,
Haath Uthate Hi Sisakte Hue Dekha Us Ko.
Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The
Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The
Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi
Dil Mein Tufaan Utha Karte The
Log Aate The Gajal Sunne
Hum Uski Baat Kiya Karte The
Sach Samajhte The Uske Vado Ko
Raat Din Ghar Me Raha Karte The
Kisi Viraane Mein Usse Milkar
Phool Khila Karte The
Ghar Deewar Sajaane Ki Khaatir
Hum Naam Unka Likha Karte The
Kal Usko Dekhkar Yaad Aaya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kiya Karte The