Main jeet kar hari wo haar kar bi jeet gaia
wo mere dill or damag par chah gaia
muje naaz tha bohat khud par
wo mere garoor ko khak main mila gaia
marte rahe husan wale aaj tak mujh par
wo mujhe apna deewan bana gaia
mohabat karna mujhe kaha aata tha
wo mujhe muhabat karna sehkha gaia
zina rehne ki kab talab thee baki
wo zinda rehna sehkha gaia
main andehroon main bhatakti rahi
wo meri zindagi main shamah jala gaia
Dukh bhari dastan thi meri
wo meri jholi main khushian dall gaia
meri her gazal us ke naam hai
wo mujhe or mere kalum ko nai zaban sehkha gaia
Collecting By :
Aleena
nagaah e shauq e jigar waqif e chaar su kya hai?
jo dil hasiin ho tou duniya e rang o bu kya hai?
khabar nahin mujhe main kya hon aarzu kya hai?
kisii ne jab ye samjha diaa kay tu kya hai
jo dil men dhoob na jaye wo guftugu kya hai?
jo chhaa na jaye wo payaam e arazu kya hai?
ye chupke chupke dil o jaa se guftugu kya hai?
ye cheir chhaar ye andaaz e aarazu kya hai?
YAHI KHABAR NAHIN AEY WALE ISHQ O MEHROMII!!
KAY ARZU KISSEE KAHTE HAIN JUSTUJU KYA HAI?
Collecting By :
Aleena
Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa i.ntezaar kiyaa
[tamaam=whole]
ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa
tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa
ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa
fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thhii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa
ye kisane jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa
ki dil se shor uThaa, haa_e! beqaraar kiyaa
ta.Dap phir ai dil-e-naadaa.N, ki Gair kahate hai.n
aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa
[sabr=patience]
bhulaa bhulaa ke jataayaa hai unako raaz-e-nihaa.N
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa
[raaz-e-nihaa.N=hidden secret; aashakaar=reveal]
tumhe.n to vaadaa-e-diidaar ham se karanaa thaa
ye kyaa kiyaa ke jahaa.N ko ummiidavaar kiyaa
ye dil ko taab kahaa.N hai ke ho maalandesh
u.nho.ne vaadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa
na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hai.n
vo beqaraar rahe jisane beqaraar kiyaa
kuchh aage daavar-e-mahashar se hai ummiid mujhe
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa
WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Roz taaron ko numaaish main khalal padta hai
Chand pagal hai andhere main nikal padta hai
Main samandar hun kudhali se nahi kat sakta
Koi fawwara nahi hun jo ubal padta hai
Kal wahan chand uga karte the har aahat par
Apne raste main jo viraan mahal padta hai
Na ta-aaruf na ta-alluk hai magar dil aksar
Naam sunta hai tumhara uchhal padta hai
Uski yaad aayi hai saanson zara dheere chalo
Dhadkano se bhi ibadat main khalal padta hai
WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Masoom Mohabbat adna Sa Fasana Hai,
Kagaz Ki Haweli Hai,
Baarish Ka Zamaana Hai,
Kya Shart-E-Mohabbat Hai,
Kya Shart-E-Zamana Hai,
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gana Hai,
Uss Paar Uterne Ki Umeed Bohut Kam Hai,
Kashti Bhi Puraani Hai,
Toofaan ko Bhi Aana Hai,
Samajhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz-E-Mohabbat Ko,
Ek Shaqs Ko Aankhon Se kuch Sher Sunaana Hai,
Masuum ada koi phir Ishq ki zid par hai
Phir aag ka dariya hai aur doob ke jaana ha
WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Usey Kehna
Mukammal Kuch Nahi Hota
Milan bhi na mukkamal hai
Judai bhi adhori hai
Yahan ek mout pori hai!
...
Usey kehna
Udaasi jab ragoon main
khoon ki manind utarti hai
Bohat nuksaan kerti hai!
Usey Kehna
Bisaat-e-Ishq pe jab mout hoti hai
Dhukoon k sheher main jab raat hoti hai
Mukkamal bas KHUDA ki Zaat hoti hai
WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
ankhon main koi khawab utarne nahi deta By Mohsin Naqvi
Thursday, February 25, 2016ankhon main koi khawab utarne nahi deta
ye dil ke mujhe chain se marne nahi deta
bichare tu ajab pyaar jatata hai khatoon main
mil jaye tu phir had se guzarne nahi deta
woh shakhs khazan rut main bhi mohtaat hai kitna
sookhe huye phoolon ko bikharne nahi deta
woh dil main tabassum ki kiran gaholne wala
roothe tu ruton ko bhi sanwarne nahi deta
main uss ko manaon ke gham-e-deher se uljhon?
mohsin woh koi kaam bhi karne nahi deta
** By Mohsin Naqvi **
Collecting & Presented By :