Collection Shayari Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye Tuesday, July 10, 2012 Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye Haalaat se, kuch khud se majboor ho gaye Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye !!!
Collection Shayari Intezar Koun Kare ? Tuesday, July 10, 2012 Ishq Ka intezar Koun kare Toot kar itna Pyaar Koun kare Ruthe Aise Me Ke Hum Bhi Minnatein Ab Hazar Koun Kare Niyamatein Beshumaar Hain Usski Zoq-E-Sajda Shumaar Koun Kare Dil Bhi Janat Hai Apni Duniya Me Hashr Ka intezar Koun Kare Pyaar Ki Aag Me Hain Parwane Aisi Takleef Yaar Koun Kare Faqeer Bhi Shahinsha Hai Duniya Ka Raham Ab iqtiyar koun kareThanks & Best Regards
Collection Shayari Dard Ki Sadaa Tuesday, July 10, 2012 Mera Sath Tum Bhi Chalna Mere Sath Tum Bhi Aana Zara Gham Ke Raastoun Me Badi Tez Tairgi Hai Yeh Mushaheda Nahi Hai Mere Dard Ki Sadaa Hai Mere Daag-E-Dil Jale Hain Teri Bazm Jab Saji Hai Gham-E-Zindagi Kahan Hai Abhi Wehshatoun Se Fursat Tere Naaz Utha Hi Lenge Abhi Zindagi Padi Hai Thanks & Best Regards Mrs Rubina Yasmeen
Collection Shayari Har haqeeqat majaaz ho jaaye Tuesday, July 10, 2012 Har haqeeqat majaaz ho jaaye Kaafiron ki namaaz ho jaaye Minnat-e-chaara'saaz kaun kare Dard jab jaan nawaaz ho jaaye Ishq dil ma rahe to ruswa ho Lab pe aaye to raaz ho jaaye Lutf ka intezaar karta hoon Jor taa hadd-e-naaz ho jaaye Um'r be'sood kat rahi hai Faiz Kaash afshaa-e-raaz ho jaaye DOSTI KI MEHEK ISHQ SE KAM NAHI HOTI, ISHQ PE HI ZINDAGI KHATM NAHI HOTI, AGAR SAATH HO ZINDAGI MEIN ACCHE DOSTO KA, ZINDAGI KISI JANNAT SE KAM NAHI HOTI.......!
Collection Shayari Ab daur e hazra ka ye ahwal dekhiye Tuesday, July 10, 2012 Ab daur e hazra ka ye ahwal dekhiye Bigrha hua hai haal mager chal dekhiye Shadi se pehle pehle jo shauher the lakhpati Shadi ke bad ho gaye kangaal dekhiye Pehle to chand jaisi haseena thi wo mager Shadi ke baad jaan ka janjaal dekhiye Soorat azeez hai na hee seerat azeez hai Samdhi ki gaath me hai rakha maal dekhiye Taali bajana aaye to taali bajaiye Kerna nahein he kaam to hartaal dekhiye Ghazalon ko gaane wale to SAJID ameer hein Ghazalon ko likhne wale fatehaal dekhiye Smart Boy
Collection Shayari Tujhye Kiya Samjhon Tuesday, July 10, 2012 Tujhye Kiya Samjhon Muj Ko Ulfat Bhi Naheen Muj Ko Adawat Bhi NaheenMain Tujhe Ajnabhi Samjhon K Shanasa Samjhon ?Ek Khalish Si Hay Jo Beytab Kiye Deti HayDard Samjhon K Tujhe Dard Ka Darman SamjhonTujh Se Shikwa Bhi Naheen Tujh Se Shikayat Bhi NaheenKuch Samjh Main Naheen Ata Hay K Tujhe Kya SamjhonAjnabhi Ajnabhi Samjhon K Shanasa Samjhon